Skip to main content

Posts

Showing posts from 2013

Tera Karam Maula......

Main ajj khushi ki shiddat say kapkapa rahi hon k Us ki rehmat say sarshar ho ker....per mera dil Allah ki bargah main sajda raiz hay aur Main Uski meherbaniyon karamnawaziyon ka jitna bhi shukar karon wo kam hay.. Jab ye nanhay nanhay poday meri zindagi main aye thay tou meray weham o guman main bhi na tha k inki dekh bhal k liye mujhay akailay sard o garm say larna hoga....mujhay in ki deekh bhaal kerni hogi..waqt per sub kuch hota gaya...kabhi kabhi mujhay bohat der bhi lagta k agar main apni zimmaydariyon main kamyab na ho paye...Khuda na khawasta ye phool murjha gaye tou...Ye mera Allah janta hay k main k main kab kab bekarar ho ker roi ...kab kab thak k ...haar k beth gai aur naye siray say in k liye uth khari howi...Ye himmat meray Maula nay mujhay de... Jab hum koi bhi beej daltay hain koi poda ugta hay...us per kali phool lagtay hain...hamain bohat khushi hoti hay....per ye khushi dugni ho jati hay...jab in podon ki tareef koi dosra karay ... hamain lagta hay hum nay ik j

Ik tere janay k baad.....

Dedicated to my beloved bro on his death anniversary....22 August Wo meray dost thay...Meray mehboob bhai thay...Meray raazdan bhi thay...Unki jaga...Unka muqam...ajj bhi dil k sub say oper walay khanay main mojood hay... Baap ki si shafqat....dost ki si mohabat...kia kuch nahi dia tha unhon nay mujhay.... Kuch bhi bacha nahi hay meray pass bhai .....ik aap k janay k baad.... Meri in tooti phooti si berang shairi aur alfazon ko ap nay is terha saraha tha k mera khoon dhairon berh jata tha...Meri pagalon wali batain kitni sanjeedgi say sun ker ap muskuraya kertay thay...yaad hay mujhay.... Mujhay ap say sirf aik he shikayat hay....k ap nay janay main itni jaldi ki.....bohat jaldi ki....Log kehtay hain k waqt k saath saath ghum halka perta hay...per ye ap k janay ka ghum kyoon halka nahi para....joun  ka toun hay...raaton ko tanhai main jab yaad ati hay na bhai ...bohat rulati hay....bohat rulati hay.... Allah Tallah apki tamam ter manzilain asan karay aur aala jaga ata karay

Ye mujh may KON bolta hay......?

Main jab apni tehreerain perhti hon tou na janay kyoon lagta hay k ye sub main keh tou nahi pati tou phir kaisay meray kalam ki nook kagazon main ye zeher ugalti hay.....Main jo sochti hon .. Main jo bolti hon...Main jo kehti hon...wo sub tou 10% bhi main likh nahi pati...janay kyoon aik khas had tak he kalam zeher ugalta hay... Main ajj kal bohat hairan hon ...bohat pareshan hon.... Koi bataye ga mujhay.....? Ye main he hon......???? Ya koi Aur.... Ye mujh main kon bolta hay........? Ye kon hay jo meri zaat k sub raang kholta hay.... Fehmida Chaudhary... 22 August 2013

Mitti ko mitti main mil ker qarar aye ga....

Hum sub mitti k banay hain,,,,kichar wali mitti....phir bhi khud ko aala samajhtay hain...bakamal samajtay hain....jhuknay main sharmatay hain...galtiyon ker k dandanatay phirtay hain...sachai ko jhatak detay hain ...achai ko bura aur burai ko acha kehtay hain....Garoor say gardan taan k chaltay hain ye sub bhool ker k ye zameen hum se her cheiz ka hisaab mangay gi...hum magan hain ...hum ahsaas bhi nahi kertay.... main bhi mitti ka putla hon....magar ahsaas mar gaye janay kyoon meray...ab kisi bhi baat ka , durd ka , ranj ka , judai ka, khushi ka.......ahsaas he nahi hota.... Duniya main tou kabhi na kisi say zehan mila na dil..... phool ugati hon khaaar ugtay hain.... piyar deti hon nafratain pati hon.... aetibar deti hon...be-aetibari pati hon... khushi deti hon...dukh pati hon... Meri galti ye nahi k main saaf goo hon...meri sub say bari galti ye hay k mera double standard nahi hay....apnay liye kuch aur rules aur dosron k liye kuch aur....ye baat mujh se hazam he nahi h

Tanhai ki Aaa'kaas bail.....

Meray jism o jaan say llipti ye tanhai ki aa'kaas bail mujhay jakar k rakhay howay hay...is bail nay meray wajood ki tamam ter raanaiyan, shokhiyaan, yahan tak k meray jism ki nas nas ko nachore k rakh dia hay... Ye jo ankhon se  bin mausam barsat hoti hay wohi is bail ko namoo deti hay... Is qaid say farar kab mumkin hay...? kesay mumkin hay....? Main roz subha is akaas bail ko dekhti hon is umeed pay k meri rag rag ko nachore dainay wali is tanhai ki moat kab hogi...kab is bail say koi phool bota photay ga...main roz is bail ki abyari kerti hon....ik dafa is bail pay ik surkh gulab khilah tha....khoon ki manind surkhi thi uski....us may say subha o sham khoon rista rehta tha armano ka...aetibar ka....yaqeen ka....main nay khud he noch dala usay k mujhse mazeed aziat bardasht he na hoti thi... Fehmida Chaudhary 14th August 2013

Akhri manzil........

Ajj janay kesay afratafri ka sa aalam tha...meray veran sehan main dor dor tak ser he ser nazar arahay thay...aik azdaham sa tha logon ka kuch janay pehchanay aur kuch anjan....phir kuch aurton nay mujhay gusal dia aur safaid naya buraq jora zaib tan ker dia...main jaisay khud ko bohat halka sa feel ker rahi thi..lakh bolnay ki koshish kerti per muh say kuch ada he nahi ho paraha tha...sunta sub tha...koi meri badgoi ker rha tha tou koi tareef...aik alag sa he sama tha....main bas aik taraf aik naye bed numa bister per ankhain monday leti thi....phir janay kia howa her taraf shor sa mach gaya...samajh main kuch aisay he araha tha...log keh rahay thay k ab is k janay ka time agaya hay...isko rukhsat karo....phir dekhte he dekhte mujhay doli numa cheiz per char kandon par char logon nay utha lia....main hairan thi...ye kia ajab manzar hay....kia kahani hay....phir wo mujhay le k chaltay rahay chaltay rahay....aur akhir mujhay le ker Shehr e khamoshan pohanch gaye...tab ja k meri samajh

Mujhay log "Guriya" kehte hain...aur samajhte bhi hain...

Mujhay log guriya kehte hain...dikhnay main mera wajood lamba chora aur mera nanha sa dil ik masoom chirya ki manind..tharakta howa ..pherparata howa...bilkul patjhar main jharay howay un zard paton ki manind jo bedool ho k idher say udhar haalat k jhaker say derbadar bhataktay phirta hay.. main ik khanderzada wajood jahan haalat k jaalay ja baja lagay howay hain,,,In may makeryon ki sorat wo rishtay hain jinhon nay jab bhi la'ab nikala zehrila he nikala.... Main wo waqt ki maari aurat jo chader aur char divari ki shaidai aur waqt nay mujhay kahan kahan ki khaak na chunwai....Wo divar jo seelan zada thi ....gira di main nay...Wo thi bhi bohat he bodi si.....Jis say mujhay jhoot, faraib,raya kari aur makaari ki boo ati thi.... Kaisay kaisay luti hon main....Kesay kesay aur kin kin rishton say thokarain khai hain main nay...kis kis nay chehron pay naqaab laga k daasa hay mujhay......aur mujh main zeher bhar dia hay....Shayad in ragon main khoon ki jaga zeher dorta hay....Kabhi j

Alerts........

Hazrat Ali ka farman perh rahi thi k agar koi apni zaroorat k waqt tumhe yaad karay tou ye Allah ki tum per nazr e karam hay k usne kisi ki zarooraton ko pora kernay k liye waseela banaya... Zindagi main koi bhi shaks perfect tou nahi hota ... main bhi nahi hon... Jin logon k dil main dosron k liye reham nahi hota wo Allah say apnay liye kesay aur kyoon rehem ki umeed kerte hain... wo jinko zindagi k badtareen dore main main nay yaad kia unhon nay lafzoon k teer chalaye aur jhatak dia...apnay ghar main bhi hain mujh si....per koi nahi...... wo mujh say meray rishtay ka haq ada ker rahay hain...ALERTS laga ker....yahan main ik dil ka nasore alfaz ki sorat likhon udher wo usay online bethay perh pain...Internet ki duniya hay...Modern way hay her chese ka ... per mujhay sabr hay is bat ka k mera sokha halq hay tou geelay halq walay jitna pee lain piyas kam nahi hogi... mera din bhar main aik ya do sokha niwala hay tou char baar kha ker bhi bhook unki kam nahi hogi... ajj mu

""""Zaat k kuttay"""" mard........

In mardon ko Allah nay kitnay baray aezaz say nawaza aur kitna bara rutba ata kia per ye tou duniya main he khud ko khuda samajhnay lagay....Kutton main aur mardon main behad mumasilat shuru se he mahsoos hoti hay.... mardon main kuch mard aadaat k kuttay hotay hain....aur mera ye man'na hay k aadaa'at k kutton k saath insan guzara ker sakta hay...k un main ya tou bhonknay ki aadat hoti hay ya katnay ki...koi lafzon k teer say ghayal kerta hay tou koi zehereelay lafzon say aur baton say....phir bhi koi bhi sabir insan in sub baton ko bardast ker k apni zindagi in jaison k sath guzar he sakta hay... Magar... Zaat k kuttay mard un insanon main shamil hotay hain jin k sath ap rehna tou kuja talluq rukhna bhi gawara nahi kertay...zaat ki ye sift nasl der nasl chalti hay...jo jism o jaan ko he nahi rooh tak ko thaka deti hay k in jaison k sath kaisay aur kyoon ker guzara kia jaye..... Maine apni life main koi aik INSAN ka bacha jo mard bhi ho nahi dekha....sanpon ki si sift

Maula k kam Maula he janay.......

Main kai bar hairan howi k meray thanday wajood main aur rooh main aur ik ik raag main sard mohri ki jo barf jam gai hay wo tou na pigalhti hay na he hilti hay tou ye jism kis garmi k saharay zindagi k saath saath rawan dawan hay....aur kal khud ba khud iska jawab mujhay mil gaya ....ye tou saal bhar say main bukhar ki sorat ik aalaao apnay sath le k phir rahi hon...mujhay isi ki garmaish nay tou zinda rakha howa hay....warna meray sard yakh basta wajood main itni garmi kahan say ati k main apna wajood uthaye ab tak phir rahi hon...pata nahi ye aalao dukhon ki tanhai ki aur murjhaey howay armano ki tapish say jal utha hay k ye meray maray howay wajood ko zinda rakhnay k liye mere Maula nay mujhay wadiyat kia hay... Maula k kam Maula he janay....... Fehmida Chaudhary 13th june 2013

Raziq kon hay ? ALLAH ya dunyawi na Khuda.....?

Main nay hamaisha say kitabon main perha k rizq Allah deta hay....wo sub k naseeb ka utarta hay... aur ye bhi k us nay ye kam apnay hathon main is liye rakha k agar bandon k hathon main deta tou koi kisi dosray ko khanay ko na deta... per aisa hota kab hay....maine to hamaisha say he dekha k Allah k agay bhaik mangay bagair sub mil jata hay...per jab ye ikhtiar insan apnay hathon main lay le to ...wohi raziq wohi na Khuda hota hay...wohi hota hay phir....wo is nashay main is garoor main ye samajh bethta hay k qadir hay us say munsaliq logon ki pait ki dozak bharnay ka ...aur wo rok leta hay....wo raziq nahi hota per wo ban jata hay...usay un phoolon k murjhaye janay ka bhi kalaq nahi hota jin ko us nay khud apnay hathon lagaya tha..un phoolon ki rangat peeli paray k neeli...usko perwa kia...? usko apni nai duniya naye gulshan ka khumar cherha hota hay... Khumar tou her shaks ko hay yahan...kisi ko kuch honay ka khumar....tou kisi ko kuch na honay ka ahsas e mehroomi aur her khumar a

Mera saathi, mera mehboob hy mera aks....mera apna saaya

Mujhay nahi pata us say mera kia rishta hay....log kehte hain andhairay maya hamara saya hamara aks bhi saath chore deta hay....per mujhay tou aisa kabhi bhi nahi laga....mera saya ....mera aks mujhay tou apnay ird gird he mandlata nazar ata hay....main hansti hon tou wo bhi hansta hay....main roti hon tou wo bhi malool ho jata hay...jab main asman ko pehron takti hon k koi asmani sahara he wahan say mujhay muskura k dekh lay tou meray dil k durd kuch kam ho jain tou us waqt bhi wo asman mai madoom hoti howi roshni walay sitaron main say aik sitaray main chamak k mujhay apni mojoodgi ka ahsas dilata hay....k tum tanha nahi ho main hon na....shayad us nay chand ko bhi meri kahani suna di hay...kyoon k wo bhi ab mujhay dekhta hay tou udas sa ho k badlon main ja chupta hay...shayad mujh say bachta phirta hay ya mera udas chehra us say dekha nahi jata....mera pehla dost ...mera gumkhawar ....ye chand he tha ....jab main baypanah udas hoti isay chat k konay main baith k pehron takti aur su

Umer ganwa di maine.....

Mujh pay wajib hay saaza e moat , mujhay phaansi lagwa do.. Umer ganwa di magar Maine raya'kariyan nahi seekhe....FC Pehlay main sirf moat ki tamana kerti thi per ab main dua kerti hon k mujhay aik kuttay wali moat milay...aiik ibrat nak moat....jo log meri terha khidmat e khalq k shauq main apnay ap ko is qadr madhosh ker laitay hain k unhain apni zaat ka ...apni zaat k haqooq ka , khud apnay ap k honay ka...yahan tak k apnay zinda honay ka bhi gumaan nahi hota....aur hosh ata hay tou ......bohat dair ho chuki hoti hay.....gaya waqt kab hath aya hay...tooti howi cheizain kab jurti hain....rondhi howi cheizain kab uth pati hain....soye howay log jag bhi jain tou unhain jaagne per bhi afsoos honay lagta hay.....Jo bhi shaks aya usne meri zindagi main meri zillat main apna apna hissa dala..magar janay kyoon ahsas mar gaye saray....aik moqa aisa bhi ata hay k hum kahin doob k mar jana chahte hain magar tab bhi dosron ki apnay se juri zarooriyat ki khatir apna lasha app apnay k

Mujhay ab kuch nahi kehna...

Khamoshiyan jab labon pay tallay dal deti hain tou lakh chahnay k bawajood na tou ap ro saktay ho na khul k hans saktay ho...na kha pee saktay ho na so saktay ho....ajab he dhang ho jatay hain jab udasiyan jism k raag o jaan main gardish kernay lagti hain.... Jab ap lakh chahnay k bawajood kisi say mohabat khatum nahi ker saktay....tou uska apko zaleel kerna bhi bhata hay...wo jaisay khail bhi khailay ap seh jatay ho...kyoon k us main kisi ka dosh nahi hay....ye raah tou khud hum nay apnay liye chuni hoti hay....tou shikayat kaisi....shikwa kaisa..... Tanhai ki aag jab apki rooh ko jhulsati hay tou ap us per sabr ka jitna bhi chirkao kerlo....ye aag bujhti nahi hay...phailti jati hay ....ye aag hamarai rooh tak to jhulsa k rakh deti hay..per aksar hamain pata he nahi chalta k hum jal jal k khatum ho rahay hain ....kyoon k koi anjana sa sahara hamain apnay ird gird mehsoos hota hay....per aisa hamaisha nahi hota...kabhi kabhi hum ander he ander jal ker khakster ho jatay hain aur ah

Bechara Kutta.....

Jab hum insanon ko durd hota hay ya had say ziada takleef hoti hay tou hum cheekh uthtay hain k akhir hum bhi insan hain.....per ye bat koi kutta kabhi nahi keh sakta jab wo kisi dukh takleef main mubtilah ho..kyoon k uska bhonkna hamain samajh ata he nahi...Ajj tak ye baat samajh nahi aye k aam janwaron ki terha ye bhi aik janwar hay..tou log isko gaali k tor per kyoon istimal kertay hain ...jab k kutta tou aik wafadar janwar hay...bura tou us kuttay ko lagna chahye k usay kisi insan say mansoob kia jata hay jo na wafadar hay na tabaihdar hay... Mard aur kuttay main zameen asman ka farq hay .... Kutta wafadar hota hay.... bas wo bol nahi sakta k bata sakay k usko kitna bura lagta hay....jab kisi mard zaat k nam k saath usay pukara jata hay... Meri tamam hamdardiyan us kuttay k saath hain...kyoon k wo bechara wafadari k tamam amrooz say waqif hotay howay bhi batain sunta hay....Bechara kutta.... Mard zaat tehri saada ki Bad zaat...... Naya zamana hay nai riwaj......tou kyoon n

Tanhai ki Deemak.........

Hum sub kitna badal gaye hain ... waqt nay...haalat nay...waqiat nay...kitna kuch badal k rakh dia hay... zakhum aur durd choo'ut ka marz nahi phir bhi kkaisay chotay chotay dukh hamaray dil may pal pal k kitnay baray ban jatay hain aur kisi afriat ki terha se hamain saalim nigal jatay hain...Ye durd us'daa'hey naho ho saktay ....Tou kia durd denay walay log us'daa'hey hotay hain.....??? Jism ki aamarat na janay kin satoonon per tiki howi hay...jab k mehsoos ye hota hay k tanhai ki deemak nay andar he ander chaat dala hay....khookalah sa wajood ho chuka hay....Rat jag'ge aam ho chukay hain....zehan ki wadiyon main koi cheh chaahat nahi....khamoshi ki dabeez aur purisrar si aik teh jami hay...kisi qai ki sorat.... In tanhai ki khamosh wadiyon main yaad k ghungro kisi jaltarang ki manind baj uthtay hain aur kuch dair ko he sahi....zindagi rakhs kernay lagti hay........Aur rooh is taal per jhoom jati hay....Aur is bat ki tasdeek bhi ho jati hay k wajood

Mazloom ki aah..........!!!

Allah tujhse kuch nahi chaheye mujhay SIrf ye k... Her wo ankh bohat ziada roye jisne mujhay rulaya hay... Her wo shaks jisne khailay khail unse taqdeer aisay khail khailay k wo chakra jain.... Her wo shaks jo khud ko zamina Khuda samajhta hay wo pastiyon k daldal main phans k reh jaye........ Main insaaf chahti hon bas...... jinlogon nay guriya samjhat un sub k ghar main aik Guriya ho.........mujhay makafat e amal dekhna hay...kesay hota hay....mujhay tera qeher dekhna hay...mujhay tera jalal dekhna hay....mujhay tera insaf dekhna hay.... jinhon nay meri zindagi main kantay bichaey hain unko khar he bukhshana........jinhon nay jhooot ki faseelain apnay ird gird khari ker k apnay ko chupaey rakha.....unsub k anjaam............ mujhay nahi unko dekha de k TU hay....Tu munsif hay.......dair nahi kerna...mere sabr ka paimana labraiz hay..... sach hay andhairay main saya bhi sath chore jata hay.....Saya ....aah faraibi saaya...... dair na karna meray malik........ik ik k

Be-Wafa Saharay........

Ye duniya hay... Yahan per her koi bay-amaan hay Aur amaan ki talash main hay..... Her koi be-sahara hay Aur Saharay ki talash main hay... Be-wafa hay Aur Wafa ki talash main hay.... Rayakar hay Aur Khaloos ki talash main hay.... Beej nafrat k bota hay Aur Fasl e mohabat katnay ki arzoo rakhta hay....

Aisi ye duniya kyoon hay......?

Raste khud ba khud ban jatay hain sirf manzil ka tayun kerna zaroori hay... Jab manzil k nazdeek pohanch jatay hain tou lagta hay k manzil asan thi phir is qadr kathnayan kyoon muqader bani...beher hal zindagi kat he jati hay kabhi manzil ki talash main aur kabhi tamam umer bhatuktay howay ...Hamsafar na bhi ho tab bhi aur ho tab bhi ...Moat itna nahi rulati jitna k zindagi rulati hay....Kabhi aansoon ka samander aur kabhi khoon k aansoo jisko dekho wohi hay apnay ghum may dooba howa....Is qadr doba howa k apnay ilawa kisi aur ka hosh he nahi.... Main nay zindagi say ye sekha hay k sach ko apna hathyar bana ker larnay walay log aksar duniya ki jaang har jatay hain....Shikist unka muqadar banti hay..Aur jhoot ki parastish kernay walay musafir akser paar uter jatay hain ....Na janay aisa kyoon hota hay...Per haqeeqat yehi hay aur karwi haqeeqat .....aur is say kisi taur inkar nahi ho sakta.... Zindagi main aik aur cheiz jo meray mushahiday main aye wo ye k jin logon k liye hum purkh

Insaan aur Gidh.....

Main soch rahi thi k insaan aur gidh main ab farq kitna reh gaya hay...? Gidh tou maray howon ko khatay hain aur ye insaan zinda ko aik aik boti noch k ... aziat de k ...dard day k ....Gidh itnay buray tou na howay na phir....ye tou maray howon ko khatay hain jinhain na durd hota hay na he ehsaas ...na he kisi aur kism ki takleef.... Jonkain tou mashoor he khoon peenay k liye hain aur ye insan mohabat ka natak ker k shehr e zaat main dakhil ho ker ghont der ghont khoon peeta hay...qatra qatra nachor leta hay jism se....phir bhi ashraf ul makhlooqat kehlata hay.... Dekha jaye tou zahir main jo kuch hota hay wo asal main HOTA nahi hay....pata nahi kisi cheiz k honay k liye Kia hona chaheye ....laikin ye falsafyana soch kisi bhi bat ka jawab nahi..balkay shayad duniya main kisi bhi sawal ka jawab nahi....hum apnay zehan ko raam kernay k liye jawab bana tou lete hain per wo jawab hota nahi hay... Kon kehta hay k her aik sheh ka taluq dosri sheh say jura hota hay...ye sub khalayat k

Aah asr rakhti hay...........

Kuch dino pehla main zehni jismani aur kalbi tor pay had darja nidhaal thi.Is qadr bejaan pa rahi thi apnay ap ko k lagta tha k rooh ki moat wakiya ho chuki hay..Aur jism k teh'khanay main jaan nam ki cheez he nahi..Main nay apnay apko sambhalnay ki bohat koshish ki per NAHI kisi tor sakoon ata tha na qarar..Tou bila akhir main nay her durd o ghum ko ..ranj o alum ko ik ghutri main bandha aur chor aye RAB ki adalat k derwazay per aur loat aye USKI dehleez say bina kuch kahay...Uski Zaat pe chor diye saray faislay...Usi ko waqeel kia apna...Usi ko munsif aur apnay muqadmay ki shunwai k liye wahan ruki bhi nahi....Mujhay kamil yaqeen hay k wo Bayinsafi nahi kerta ...Usay sub khabar hay..Sub pata hay....Wo sub bhi jo main nay kabhi kisi say nahi kaha.......kisi say bhi nahi......kabhi bhi nahi........ Mujhay jo thokarain apnon say aur gairon say milin uski bhi main shukarguzar hon apnay RAB ki k agar main in kutnaheyon say na guzarti tou ajj itni mazboot aasab ki malik na hoti ...Ki