Wednesday, August 24, 2011

Main nai bolna...bAssssssssss

..................................................................................................................................
..................................................................................................................................
..................................................................................................................................
..................................................................................................................................
..................................................................................................................................
..................................................................................................................................
..................................................................................................................................
..................................................................................................................................
..................................................................................................................................
..................................................................................................................................
..................................................................................................................................

Kitabi Batain.......

Ye bat to aksar main socha he kerti thi k baz batain sirf aur sirf lafazi k ilawa kuch nahi hoti...un may koi sachai nai hoti...per wo khobsurat batain hamaray dil ko cho laiti hain...jinhain hum kabhi kabhi shugal may KITABI BATAIN bhi kehtay hain......aisa he aik paragraph ajj aik book perhtay howay mujhay perhnay ko mila.......is paragraph ki sehat per shak hay mujhay.....
perhye ....

""""Majbooriyon k bandan aur saath bohat napaidar hotay hain....Agar kabhi ap ko ye lagay k koi ap k sath majbori k tehat hay tou jitni jaldi ho sakay usay us bandhan say azad ker dain....Kyoon k aik na aik din ye arzi bandhan tootna he hota hay...tou behtar nahi k ap khud he usko azad ker dain...tah k apki apni izzat e nafs salamat rahay """"

Rishtay na tou apki apni marzi say bantay hain.....na he toot'tay hain...dekha jaye to apki bebasi ka tamasha dekhnay k liye aisay kitabi jumlay kitabon may print hotay hain....hahhaha

In baton ka haqeeqi zindagi say koi talluq nahi hota hay.....ye mojza nahi hay tou kia hota hay....na na kertay ap ki zindagiyon k faislay ho jatay hain....aur ap bat kertay hain....izzat e nafs ki......

Kia hoti hay izzat e nafs.....
kia kisi aurat ki izzat e nafs hoti hay....
uski izzat e nafs bachpan may he daba di jati hay....
k agar izzat e nafs say agahi ho gai to baray ho ker Bagawat na ker jaye......
izzat e nafs kuchalnay ka ye silsila koi aur nahi kerta ...uski apni maa kerti hay...wo maa jo zamanay k surd o garm say bachati hay......khud geelay may soti hay bachon ko sookhay may sulati hay...
jee wohi maa....kyoon k usay pata hota hay k .....k uski nazuk si guriya jaisi beti agay na janay kin halat ko face karay....is k liye wo usko pehlay say he PRECAUTIONARY MEASURE k tore per tayar ker daiti hay....
Ye bhi us maa ka pyar he hota hay......is k peechay uska apna zaati nafah nuksan nahi hota.....
aur shayad ye her wo maa kerti hay ..... jo apni beti say pyar kerti hay....

Log aksar bat kertay hain zindagi kaisi guzar rahi hay......asal may zindagi guzar nahi rahi hoti....wo to guzar rahi hoti hay.....insano ko ....apnay bhanwar may....chakkar view khatum he nahi hotay is k .... us waqt tak ghumati hay.......jab tak hamary muh say nikal na jaye.....
TU JEETI HUM HARAY.....:)

Waisay meri batain ...main he jano....k main nay kia likha hay....hahahahha
ab bas bohat ho gaya.......ajj k liye itna he kafi hay........

Fehmida

Saturday, August 20, 2011

Khoon peenay wali jonk'aain....

Mujhay flowers bohat ziada pasand hain.....itnay k jahan kahin nazar ajain nazar nahi hat'ti...i love them a lot......ya shayad subko he bohat achay lagtay hain....hotay tou jo itnay khobsurat hain...dil moh laitay hain... her kisi ka....

Per hum nay kabhi un logon k baray may nahi socha hoga jo phoolon ka karobar to kertay hain per is k bawajood unki zindagiyon may in phoolon ki si mehak nahi milti....wo tou aik aik niwalay ko tarastay hain...shayad phooolon ki khobsurati aur inki khusboo na tou unki zindagi ko khobsurat ker sakti hay aur na un k khali pait ko bhar sakti hay....un logon k samnay sirf hay tou wo chand rupeye jo wo in phoolon k badlay may hasil kertay hain....k ye tou pait bharay logon ki batian hain ..phool khusboo rang mausam....un garibon ko kia lutf dain ge jin k shab o roz is fikar may basr hotay hain k aya ajj unko kuch khanay ko milay ga bhi k nahi.....
Tuff hay... Ye khobsurat mulk jo humne hasil kia....ISLAM k nam per...matlab batatay hain PAKISTAN ka k لا إله إلا الله محمد رسول الله.... aur kam hamaray kia hain...

Islam tou kehta hay wo shaks hergiz momin nahi jis ki zuban say uska musalman bhai mehfooz nahi...

Yahan to zuban ki misal di gai hay... lafzon k ghao ki bat ki gai hai...aur ajj kal kia ho raha hay ...ik musalman bhai dosray musalman bhai ki jaan lay raha hay....aur ye bhi qayamat ki nishaniyon may say aik nishani hay k .....

mErnay walay ko nahi pata hoga k wo kis gunnah ki padash may mara jaraha hay aur mArnay walay ko bhi nahi pata hoga k usnay kyoon mara usay....usay to bas marna tha tou mar dia....

Ye khoon ki kaisi holi hay jo khailnay walay ko na janay kaisa maza day rahi hay...ye kaisi bhook hay ...ye kaisi pyas hay jo mitnay may he nahi arahi hay....

Wo becharay jo roz ki kamai kernay walay hain...wo bhook o aflas say mar rahay hain....jitnay din bhook bardast howi .....theek hay......us k bad wo bhi moat ko galay laga rahay hain k unki gairat ye gawara nahi kerti k kisi k agay hath phailain wo .......kia hay ye sub........

Kia hum apna haq ada ker rahay hain......kia hum itnay kamzor hain k is k khilaf awaz he utha sakain........Hamara mazhab tou hamain khud kehta hay k Zulm sehnay wala aisa he hay jaisay k Zulm kernay wala......

Per nahi ajj k dore ka insan apni zindagi ki asaish ko hasil kernay may itna laga howa hay k usay kisi aur cheiz ki fikar hay he nahi....usay jab tak wo AAG parai lagti hay jab tak apna ghar uski lapait may nahi ata...

Hum Ashraful makhloqat thay jab duniya wajood may aye..... Aur ab simple makhlooq bhi nahi rahay.......khooni darinday ban gai hain ....khoon peenay walay........khoooni asham darinday.....

Hamain surikhiyan achi lagti hain......
bas....
chaheye wo akhbar ki hon k
jazbat ki
k kisi ki jan lay ker

Humain to bas surkhiyan pasand hain...
Hum sub khoon peenay wali jonkain ban chukay hain....
Per hamain ahsas tak nahi...
Hum khobsurat frame k aainay laga ker..... un may apni shakal dekh ker.... dil may bas ye he sochtay hain k ...HUMSA HO TO SAMNAY AYE....

Apnay ap say karahiat he nahi ati hamain......
Hamaray zameer murda ho chukay hain....
Hamaray dilon per kufl per chukay hain.....

Is qaum ko ab zaroorat hay ik imam ki.....ik nasaih ki....ik rahbar ki....ik mutak'ki ki, ik parhaizgar ki.....Aur kuch nahi tou ....chalo hath he utha ker us say mang lain .......jo muradain pori kernay wala hay.........jo bhatkay howon ko rasta dikhata hay...jo zakhom pe marham rukhta hay.....

AOOOoooooooooo........
Dua mangtay hain.....

Ae RAB e kareem hamari khatain mauf farma....bas hamaray amal he hamain ruswa kertay hain tou bakhshnay wala hay ...bakhsh day..........aur hum per zalimo ko hukmaran na bana....koi aisi raah dekha jo hamain manzil per lay jaye aur hamaray rastay ko asan farma day......beshak ye hamaray amalon ka he natija hay per tou mauf ker day.......aik nai subha e roshan dekha day meray malik.........hamain acha insan bana .....musalman bana.......acha shehri bana.....aur is MAA jaisi dharti ko apni pannah may lay lay aur iski hiffazat farma aur isko zalimo k shar say baacha....beshak tou RAHEEM hay KAREEM hay GHAFOOR hay.......ameen sum ameen


Wednesday, August 17, 2011

Tamasha e ISHQ....

Iblees teri ik khuda say na nibh saki.....
MUJHKO tou dekh, kitnay khuda'on ki zaad may hon...


Zindagi............jisay hum, aap,,duniya walay sab k sab ik imtihan say tashbee daitay hain...ye wo imtihan hay, jis ka CENTRE tou duniya may para hay...magar ...iska result OUT hoga dosri duniya may....
Is imtihan k bohat saray marhalay hain....aur bohat he paich dar bhool bhalaiyon walay rastay...jis nay guzar ker ap ko us pul e sirat tak pohanchna hay..jahan apka paper hay....

Kabhi Qudrat day ker azmati hay
Kabhi lay ker ....

Kabhi ikhtiar day ker
Kabhi be ikhtiar ker k

Kabhi bin mangay deti hay
kabhi mang mang ker thuk jao tab bhi nahi deti...

Qudrat k agay hum sab bebas hain....

Jo is imtihan may pora utarta hay wo KAMYAB tehraya jata hay....
Aur
Jo himmat haar day....wo ....nakam o namurad teherta hay...


Dushmano ki terha US say lartay rahay....
Apni chahat bhi kitni nirali rahi....


Shayad ISHQ bhi isi imtihan ka hissa hay....
Chahay ishq e haqeeqi ho k ishq e majazi...

Is baat ko kai danishwar kai jaga apni tehreeron may bhi maan chukay hain k ...Ishq e haqeeqi ki raah kabhi kabhar Ishq e majazi say ho ker guzarti hay....

Ishq ka ye safar azmaish der azmaish hay aur her her qadam ik naya imtihan bhi....

Ishq k is imtihan may ashiq ka na tou apna dil hota hay na he sochain apni rehti hain.......ye sub girwi(mortage) ho jata hay....us k hathon jis say ham ishq ka dawa kertay hain.....

Bas aik he farq hota hay.....
Ishq e haqeeqi may
Aur
Ishq e mijazi may

Ishq e haqeeqi may ............rooh sarshar ho jati hay.......Khaliq e kainat say ishq us bulandi tak poncha deta hay....jis tak kisi aam ki dastaras nahi hoti.....
Magar beshak insan nuqsan may he hay.......wo ghatay ka soda kerta hay....shayad jab he
Ishq e mijazi kernay wala khali hath aur TAMSHA E ISHQ ki ik tasveer ban k reh jata hay....

per main chahti hon k in do imtihanon may ik paper
Ishq e makhlooq barai Ishq e haqeeqi
bhi compulsory subject k tore per rukha jaye.....

k hamain abhi iski bohat zaroorat hay......

Youn tou koi bhi kabhi kisi ka sahara nahi hota...per ham waqti saharon ko US saharay k liye chore detay hain jo hamaisha he hamara sahara hota hay...Hamara ALLAH....jo hamaray sath hota hay.......her waqt....her jaga.....per phir bhi hum khud ko tanha kehtay hain....USko bhi bura tou lagta hoga na k ...meray hotay howay ye khud ko tanha kehta hay...

Tanha wo nahi hota...jiska koi saathi na ho....Asal tanhai wo hay jis may insan andar say tanha hota hay....ye wo tanhai hay jis ka kurb is kafiat say guzarnay wala he mehsoos ker sakta hay...

Her insan ka zindagi ko tackle kernay ka alag tareeqa hota hay...koi kaisa asar laita hay ...koi kaisa....her insan ka stamna bhi alag he hota hay....jaisay sochain alag hoti hain...aur jin ki sochain milti hain wo he aik dosray ko sub say ziada misunderstand kertay hain bohat say mamlat may...

Baba jee my favt Ashfaq Ahmed ki bat yaad agai....

Jab zinda insan ka ander mer jata hay tou wo bohat khush iklaq ho jata hay...aur perwana e zindagi k parwanay us say noor hasil kernay k liye dore dore say atay hain....

Bohat achi bat lagti hay ye mujhay....perwana e zindagi ....perwanay tou prewanay hotay hain na.....sari umr aik jaga nahi teher saktay ......kabhi kabhar itni roshi lay jatay hain k shama k pass apnay dekhnay ko bhi kuch nahi rehta........siwai ghore andhairay k........

In baton ka kuch hasool hay kahan........jo likhay jati hon......likhay jati hon...........likhay he jati hon......pata nahi kyoon........???

Lost Soul.......Fehmida

Stupid experiment.....

Ajj aik bat reh reh ker yaad arahi hay...3-4 saal pehlay ki baat hay....pata nahi bethay bethay kyoon ye bat zehan may ai k ye bat kyoon kahi jati hay k ...aik kharab saib(apple) saray sahi saibon ko kharab kerta hay is type ka kuch perha tha ..jis ka concept basically ye tha k kharab sohbat achay logon ko bhi kharab ker daiti hay......jo meri samajh may bat aye tou wo tou ye he thi....agay ka mujhay nahi pata...likhnay walay nay kis pas manzar may likhi thi....

khair ghar per saib rukhay thay unhain check kia aik un may say kharab ho raha tha...usay may nay set ker k beech may rukh dia..k dekhtay hain kal tak kia result ata hay....aglay din dekha tou wo saib mazeed kharab ho gaya tha...per dosray saib kharab tou nahi howay thay....shayad bohat he dheet qism k thay...isliye...ya phir kia wajah thi....khair wat i saw is that ....k....jo kharab tha us ka acha khasa dhaag dosron per bhi lag gaya tha...

mujhay to just observe kerna tha k wo kharab wala dosron ko kharab kerta hay k nahi...per kuch dair bad zehan may ye bat aye k experiment zaya nahi gaya....pehlay pahal aisa hota hay k kharab cheiz apna halka sa daag lagati hay achi cheiz per...us k bad time guzarta jata hay tou daag mazeed berh jata hay....aur akhri kar wo usay bhi zakhmi sa ya mukamal kharab sa ker daita hay....

Meri hergiz ye khawahish nahi thi k newton k bad mera nam aye ...research ki duniya may ...jis k experiment may saib ka nam aya tha...ye tou bas pata nahi kia soch ker kia tha....

Kabhi kabhi aisa hota hay k hamain bari say bari bat nahi lagti ....aur kabhi kabhi aisa hota hay k hum choti say choti bat bhi dil per lay laitay hain...pata nahi aisa kyoon hota hay....per hota hay....i dont know why....


Monday, August 15, 2011

Sabr......Azeem bannay ki pehli serhi....

Bachpan say he logon ka kuch na kuch target hota hay....koi goal hota hay ....jis k achievement k liye wo tan maan dhan ki qurbani daita hay....dil o jan say us cheiz ko hasil kernay k liye apni tamam takat laga daita hay.....kuch log shuru say he doctor...kuch engineer...kuch pilot wagaira wagaira banna chahtay hain....

Waisay to mujhay kuch kuch shauq tha poetess bannay ka .... per iska shukar ada kerti hon k na ban saki.... na he ban'na hay mujhay... sorry to say but...but....jin ko adab ka rakhwala ya ilm ka mamber samjha jata hay...bat kernay per pata chalta hay k wo tou khud BE-ADAB hay....aur usay khud adab seekhnay ki shidat k sath zaroorat hay...

Ye bat mujhay bhi pata hay k "5 fingers are not equal"....magar hamain equal he mili ...ye hamari qismat ya adab ka hamaray hathon affiat k sath patli gali say nikal jana hahhahahhahahha....

Khair jo bhi tha .... acha nahi tha...
Agar ye sub adab hay....tou hum BEADAB he bhalay hain....

Dosra shauq tha Azeem ban'nay ka... aur uski shuru'aat aisay howi k shayad bohat bachpan may he humne Buggle baja baja ker sub he k liye Aam maufi ka ilan kerdia tha..chaheye jurm kitna he sangeen kyoon na ho...

Pata hay...kisi say intikam lainay ka sub say acha tareeqa usay mauf kerdaina hay...per ALLAH gawah hay k kabhi ye soch ker kisi ko mauf nahi kia k ye intikam hay...kerdia to kerdia... na koi criteria rukha k kis ko mauf kerna hay ...kis ko nahi... Khud bhi kabhi maufi mangnay may aur thanks kehnay may kabhi koi sharamsari mehsoos nahi ki....koshish ki k hum logon say mohabat karain aur ALLAH humse ....

Ik waqia perha tha....

Ik shaks mar gaya ..apnay azeezon ko khawab may tou unhon nay pocha k ap say ALLAH tallah kaisay paish aye hain... us shaks nay jawab dia k ALLAH nay mujhse narmi ka salook kia ...isliye k main bhi logon nay narmi say paish ata tha....

Allah ki Allah he janay.........jin ko hum gunnahgar samajhtay hain na maloom ALLAH ko unki konsi ada bha jati hay k wo mauf ker daitay hain....aur baz dafa 24 hrs ibadat guzar ki bhi bakhshish nahi hoti...kisi ko haqeer nahi janna chaheye...kyoon k is say ap khud ALLAH ki nazar say gir jatay ho...ye takabur hay...apnay ap per...k khud ko Aaala jano aur dosray ko.....???

Ab bat ati hay Bohtan ki... ye aisa gunnah hay jis ki maufi ALLAH nahi deta...kyoon k is bat ka faisla us nay khud apnay pass nahi rukha ...aur is ka faisla us per he chora jis per lagaya gaya ho..aur rozana ye kam duniya may kitni dafa hota hay...jo kertay hain unhain shayad is ka ahsas tak nahi...per azeem ban'na koi asan kam thori hay...

Allah ko apni makhlooq say kitna pyar hay k us nay is bat ko qabil e maufi bana dia magar usi k hathon jisko kaha gaya ho...mujhay mafhoom yaad hay bat hay...(i think k HAzrat ALi ka qaul hay...agar main galat hon tou ALLAH mauf farmaye ameen...)

kisi shaks ki azmat ka andaza is bat say lagaya ja sakta hay k us nay apnay kirdar per ungli uthanay walay ko mauf kerdia ho.....Kyoon k ye koi asan amal nahi.....

Zindagi may jahan hum apnay naik amal say bohat kuch patay hain wahan sirf aik lafz...aik amal....aik galat bat say...wo sub dhoo bhi detay hain jo acha hamaray nama e amal may likha hota hay...

Koshish ye he honi chaheye k ALLAH ka kam ALLAH ko kernay dain...Qanoon e qudrat may madakalat usko bhi nahi pasand ....

Baz log dosron ko alfaz k teer chala ker enjoyment ka nam detay hain...becoz they love to irritate others....tou unka kia ????? Logon say narmi say paish anay per RAB khud narmi say paish atay hain tou kia irritate kernay walon ko irritate nahi karaingay... ye aik general si bat hay...is ka taluq kisi k sath nahi ...per aik sawal hay....jis ka jawab shayad na ap day pai'n gay ...aur na he main....kyoon k ham apnay per nazar kam ...aur...dosron pay ziada rukhtay hain....main aap aur hum sub..aik say he tou hain....

Na badalnay walay....

Fehmida

Saturday, August 13, 2011

Pagalpan....

Ajj aisay he bethay bethay meray zehan may aya k duniya may technology main itni vast changings arahi hain...her cheiz ko check kernay ka METER invent ho chuka hay....

Kabhi kabhi der lugta hay...pagalpan meaurement meter na ban jaye.........ziada kuch to nahi hoga per GENIUS BOOK of WORLD RECORD k saray record toot jain gay.........jab mera pagalpan 100% aye ga... waisay to mujhay kabhi bhi shohrat ki talab nahi rahi per bethay bethay aisay nam mil jaye ga ye bhi na socha tha.....agar pehlay pata hota to koshish hoti k mazeed improvement lanay k iqdamat kiye jain....

waisay pagalpan ka aik bara faida ye hay k ap apnay main may mast rehtay ho...waisay to iska koi ilaj hota nahi hay per kabhi kabhi ye pagalpan shayad ap k haq may behtar he hota hay......apnay ap say uljh ker ap khud he apna ahtasab kertay rehtay ho....apnay say he naraz ho ker beth jatay ho........aur mazay ki bat ye k sub ko mananay walay...apnay app ko mana'nay ka hunar bhi nahi rukhtay........per ye narazi 3 din say ziada nahi hoti.......

Mujhay apnay ap ko criticize kerna acha lagta hay......jab ap apnay ko criticize kertay ho to ap ki "Mae"(ownself) khatum ho jati hay...aur ye "mae" jahan hoti hay wahan barbadiyan he ati hain...jab "mae" khatum ho jaye insan ki tou ankhon k jalay nahi rehtay ......duniya aur log sub clear ..nikhray nikhray nazar atay hain.... kehtay hain na k jaisay maan hota hay waisay he duniya nazar ati hay.........aur duniya aur logon ko morid e ilzam tehranay walay log aam tore per wo log hotay hain jo hathon main aaina nahi rukhtay aur un ki misal wohi hay...andhon k hath may aaina wali ya ganjay k hath may kangah wali.......

Ik bat per hansi ati hay.....jis say milo kehta hay zamana kharab hay...log aisay hain....waisay hain...mujhay alafaz sahi yaad nahi hain ..per main nay kahin perha tha k (mafhoom) zamana tou khud ALLAH hay.....tou hum Nauz billah ye keh ker gunnahgar he ho rahay hotay hain....

Ghum aur khushi....

Ghum aur khushi her aik ki zindagi may hoti hay...han quantity may farq hota hay...per koi ghum ya khushi chota bara nahi hota.......ye to bas hota hay......zindagi may apnay dukh dard ko halka mehsoos kernay ka simple formula hay k ap apnay say kam logon ko dekhain....agar apko ahsas hay tou ap usay mehsoos ker lo gay k ye bhi to hay......per amomun aisa nahi hota...hamain apna ghum duniya ka sub say bara ghum lagnay lagta hay....
Meri maa nay bachpan may (4) batain itni dafa repeat ki hain k ab jab kahin ye jumlay likhti hon ya sochti hon to mehsoos hota hay k wo meray samnay khari hon aur bol rahi hon......

1...Kisi dosray ko koi bat kehtay howay wo bat khud per rukh ker soch lo k agar koi tumko kahay to tumhain kaisa lagay ga....mukhlis ho k jawab do to tum samajh jao gay k kisi say kia bat kerni hay kia nahi..kis bat per kisi ka kitna dil dukh sakta hay....

2...Achon k saath tou sub he acha kertay hain...bat to tab hain jab tum us k saath acha karo jis nay tumharay saath burai ki hay....dil dukhaya hay...ya bura kaha hay...ya koi aisa amal kia hay jis say tumhain takleef howi hay....

3...Kabhi kisi ka mazak na urao....na galat nam rakho k ye aisay kam ALLAH aur us k mehboob ko na pasand hain....kyoon k jo ALLAH say mohabat ka dawa kerta hay wo us ki makhlooq say bura salook ya badsalooki kaisay ker sakta hay....

4...Aik aur bat jo shayad dosron ko sunker ajeeb lagay per wo ye kehti thi k hamaisha kisi bhi gair mard k saath karakht lehjay may bat karo...k wo tumharay lehjay ki mulaimat ko tumhari kamzori na samjhay.......ye adat aisay shamil ho gai hay k ab seedhay muh bat hoti he nahi hay ...hahahhaha...

khair bari serious bat ho rahi thi......baat bhi kahan say kahan nikal gai.........ajj aik book may do aur khobsurat batain perhi hain.......

Ik to molana roomi ki hay....
Ap k pass
agar koi bemari
ya ghum ki khabar
ya koi sadma
ya koi hadsa
ya koi nakhushgawar khabar ati hay
aur dastak deti hay ap k darwazay per tou sub ko khush amdeed kahain...
Kyoon k ....
Ye sub paraishaniyan jo ati hain us k bad koi bohat achi khabar anay wali hoti hay...

Ik aur bat ......Khalil jibran...

Ghum aur khushi dono behan bhai hain kyoon k agar khushi ap k saath sofay per bethi hay
Tou
Ghum ap k qadmon may betha hoga
wo uthay ge to GHUM beth jaye ga....

Haye kitni khobsurat bat hay ...dil bagh bagh hogaya....
Kash main in logon k zamanay may paida hoti........
do char sawal he poch laiti .......:p
jo zehan may flood ki terha umund umund k atay jarahay hain..............:D

Fehmida


Ajj apni ye blog dekh ker dil ker raha hay gungunanay ka....
Hari thi man bhari thi.......
Raja jee k bagh may doshala oray khari thi............:)

Thursday, August 11, 2011

Kundan.....

Zindagi k aatishdaan may....

khawahishon ki bhatti may tap tap ker....

he her insan kundan banta hay...

Fehmida Ishtiaq
11th August 2011

Alfaz

Baz dafa hamaray kahay gai alfaz kisi insan ki khushi ka bais bantay hain aur usay ik nai zindagi detay hain ...

Aur baz dafa aisa bhi hota hay k hamaray kahay gai lafzon k ghaoo mundamil to kia hongay...

wo kisi ki jaan bhi lay laiti hain...

aik aisay maray howay shaks ko marna kahan ki bahaduri hay???

Aur Qatal to qatal hota hay...

Chahe alfaz k teer chala ker kia jaye k talwar ki noak say....

saza to iski bhi beher haal phansi he hay...

Fehmida Ishtiaq
11th August 2011

Khushboo...

Mujhay phool bohat achay lagtay hian...is liye nahi k wo khobsurat hotay hain....wajah ye hay k un ki si serat kisi insan ki kabhi ho he nahi sakti....

Chahay to sehray may saja lo.....

Chahay to chand patiyan dal ker Qabr mehka lo....

Inka kam tou khusboo dena hay...

Aur ye inki fitrat may shamil hay....

k

Ye pati pati ho jatay hain per apni fitrat k berkhilaf khusboo denay say nahi jatay....

Baray zalim hotay hain ye phool bhi na....

Fehmida Ishtiaq
11th August 2011

Kash....

Kash...

Mujhay lafzon ki jadugari ati....
Aur main ik jahan ko taskheer ker laiti....
aur fateh e alam kehlati

Magar mujhay ye sha'ore hay
k
ik jahan taskher kernay k liye
apka "HONA" bohat zaroori hay...

Aur main ???

MERI ZAAT ZARA E BE NISHAN

Per kash tou kash hota hay..is may "HONAY" ka amal dakhal nahi hota...

Fehmida Chaudahry
11th August 2011

Wednesday, August 10, 2011

Btao ....Zindagi kia hay?

Zindagi k bohat say faislay aisay hotay hain jo hamari zindagi say juray to hotay hain per unka faisla hamaray apnay ikhtiar may nahi hota.......

Zindagi may aisay bhi kai pal atay hain jahan hum teherna chahtay hain.....sastana chahtay hain.....jin pairon(trees) k neechay bethtay hain un say apni batain share kerna chahtay hain..per nahi ker patay.......kabhi kabhi manzil hamaray samnay ati he nahi .....wo hamaray pairon talay he hoti hay......phir bhi.......

Zindgai k kuch faislay tadbeer k hotay hain aur kuch taqdeer k....

tadbeer k faislon may tarmeem mumkin hay......Taqdeer k faislon may nahi......

Zindagi ki haqeeqat wo thori hoti hay jo hum guzarna chahtay hain........iski haqeeqat to wo hay jo hum guzarna nahi chahtay.......

Dekha jaye tou ....Ye jumla .....Zindagi kaisi guzar rahi hay......bemani sa hay.....fazool sa....

Zindagi ko koi kaisay guzaray ga.......WO to khud hamain guzar rahi hay.......bat hay samajh ki......per hum nadaan log hain......nahi samajhtay.........

Hamari umeedain hamain kyoon dukh deti hain........us ki ik he wajah hay.....meray khayal may......
isliye k hum logon say umeedain lagatay hain......us say nahi ......jis k ikhtiar may hay ye sub...Warna wo nakam nahi kerta ...na he na umeed kerta hay........Hum jitna bhi ALLAH ALLAH kertay hain na ...wo sab dhara reh jata hay.....jab hum naumeed hotay hain.....Kyoon k jisay US ki zaat per bharosa ho usko namumkin ko bhi mumkin kernay ki umeed honi chaheye...per insan hain na............bhatak jatay hain........hath pair martay hain.......idher....kabhi udher...........logon k chehron ki taraf dekhtay hain.................ye kam aye.......ya wo kam ajaye.....per hum asal may ye soch ker apnay sath zulm ker rahay hotay hain..........

Khair mera kam tou bas ulta seedha sochna hay........wo main kerti rehti hon........bad may likha howa perhti hon to khud samajh nahi ata.....likha kia hay..........per abhi kuch nahi kerna tha......likh dala jo dil may tha..........


Fehmida Chaudhary

Thursday, August 4, 2011

Akhri baat........

Zindgi may kabhi bhi ap kisi kitab ka title dekh ker kitab may mojood mawad ka andaza nahi laga suktay....Isi terha kisi dosray k baray may ap mafroozay kaim ker k usay tease nahi ker saktay....jab bat ka ilm na ho tou us topic per bat he nahi kerni chaheye....kehtay hain qabr ka haal murda he janta hay...koi aur nahi.......ye he bat aam insan ki zindagi per bhi laago hoti hay.....wo kia hay...kia nahi...kia haalat hain....kia waqiat hain........kon sahi hay...kon galat hay....

Kia kisi insan may itni bhi sense nahi hoti k wo ye andaza laga sakay k aya aik insan jab her gair k sath achay say paish ata hay......darguzar kerta hay her bat.....apnay tore per achay say acha kernay ki koshish kerta hay tou kia wo apnay qareebi ird gird k logon k saath wo rawaiya rawa nahi rukhta hoga...

Meri maa hamaisha kehti thi k apna dukh kam kerna ho tou hamaisha apnay say neechay walon ko dekho....dosron ka ghum dukh durd dekh ker dil ko sabr ajata hay k ye bhi tou hay k jo ham say buray haalat may reh raha hay.......aur ye he bat RAB E KAREEM nay bhi farmai hay...

Kisi cheiz ka acha lagna...uska izhar kerna agar gunnah hota to hum insan kabhi chand sitaron nazaron aur khobsurat logon ya khobsurat ikhlaq k logon ki tareef na kertay........

Allah k kam hain Allah he janta hay...per ye aetibar hay mujhay k wo utna he parkhay ga jitna hum bardash ker sakain gay...

Agar koi shaks hamaray sath mukhlis honay ka dawa kerta hay tou kia wo aisay kam karay ga jis say hamari ankhon may ansoo ajain...rooh tak jal uthay.........

Ab kabhi kabhi dil kerta hay mera.......wo bachpan jo main nay siyana ho ker guzara ....... main mazi may ja ker usay bacha ban ker guzarna chahti hon......khulay dil say hasna chahti hon.......
pata nahi ye samajh ki ghutti kis say pilai thi mujhay........k guriya khailnay ka dore bhi apni zaat k paich o tab suljhatay guzar diye...apni rooh sanwarnay may he waqt guzar dia.....aur hath aya tou kia..........kuch bhi nahi........

Triangle ki noak per main tanha ........be maigi ka ahsas kitna jan laiwa hota hay......ye main nay tab jana jab main shayad taqdeer aur kismat k mai'nay bhi nahi janti thi.......

Per kisi say kuch nahi kehna.........k keh ker apna ap khona hay.........gair hon k apnay sub he khooni hain........khoon chosnay walay.........bas tareeqa e wardat alag hota hay sub ka....

Jis say umeed lagao....jisko apna samjho ...wo he dasta hay.........kabhi chehray badal badal ker aur kabhi rukh badal badal ker.......

samnay baith ker koi bat nahi kerta.........time he kahan hay kisi k pass.......


Fehmida Chaudhary

Wednesday, August 3, 2011

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain.......

Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay..

Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day...

Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay....

Do rastay hain option may us k pass...

ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay
Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay...

bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko.........

Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay...

Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may lay rukha hay...unhain main zameeni thaikaider ya zameeni nakhuda kehti hon..........

Jin k pass apnay siwa subka nama e amal hota hay....pori history a to zee...per nahi hota to apnay ap per nazr e sani kernay ka schedule.....

Burai ko achai say khatum kia ja sukta hay....ye mera man'na hay....per is k liye stamina hona chaheye jo k ajj kal k logon may napaid hay...bardash khatum ho gai hay logon ki....her shaks ye samajhta hay k duniya ka dukhyara sirf wohi hay.......jitna us nay dekha hay ....dukh....utna kisi nay nahi dekha....

Jab k her shaks ka apna zarf hay ..kisi may itni bardash hoti hay k wo ik lafz nahi bol pata na ahtajaj may ....na he aah o baqa k liye........

Aur

Koi karahta rehta hay..........wawaila kerta rehta hay......
farq hay to logon ki bardash ka...zarf ka....
warna dukh to dukh he hota hay....
Chota ya bara nahi hota....

Hamain apnay ap ko acha rukhna hay......pehlay khud role model ban'na hay...per agar hum ye chahain k koi insan farishta he ban jaye to aisa nahi ho sakta....

Agar kisi may 100 khobiyan hain to hum wo nahi dekhtay.....aur uski sirf aik khami ko itna uchaltay hain ...itna advertise kertay hain k wo 100 khobiyan us aik khami k pass manzar may chali jati hain....

Zindagi may agar hum kuch aur na bhi ker pai'n to ye to ker he suktay hain k samnay walay ki achi bat ko appreciate karain....us k positive aur plus points note karain..bajaye is k k hum us may burai ya nuqs nikal ker us k peechay hath dho ker he per jain..........

Insan ko kee-char say banaya hay RAB nay............tou wo pak kaisay ho sakta hay......
perfect to sirf aik he zaat hay ..........................wo hay ALLAH ki zaat.....

Hum baray khud garz log hain.........khud tou kisi ko maufi nahi detay....apnay RAB say tawakoo rukhtay hain k wo hamain mauf ker day ga...

Khud to kisi ki izzat ki perwa nahi kertay aur RAB say tawakoo kertay hain k wo hamain izzat ki zindagi day ga....

Kabhi bhi khud say kisi k liye acha kernay ka nahi sochtay.....k is nay falan time ye kia hamaray sath .........hum kyoon bhool ker acha ker dain .....

ham achai bhi ALLAH ki khushnoodi k liye nahi kertay balkay ye soch k kertay hain k ainda ye shaks meray kam aye ga.........
ye lalach ye hirs hamain kahin ka nahi rakhti..........

Jab hum apnay RAB say mukhlis nahi hain tou aam logon say kaisay ho saktay hain

tou koi hay kia ...............FARISHTA ........???

Nahi .............na

HO bhi nahi sakta.........

Zindgi younhe guzar jati hay..........intikam aur nafrat ki aag may jal jal ker......per insan insan he rehta hay............khata ka putla he rehta hay............farishta sa nahi ban pata to farishta kaisay banaya ga.........