Sunday, June 28, 2020

RAB ka kam ... RAB he janey...

Instagram pay aik post perhnay ka moqa mila jisme kisi mausoof nay makafat e amal se mutalik likha tha k mard ko hi kyoon makafat e amal sehna pryga jo larki maa baap ki izzat daar charhati hy wo b utna he haqdar hy makafat e amal ki.

Ye zehniyaat perh k kuch to mae saktay may agai k waah kya taujeeh pesh ki hy.

Mere bas me ho tou aesi soch k tamam mard hazrat k demagh ki nasain nikal k aik he dafa aab e zaam zaam se dho k ye lagu'yaat nikal dun.

Kash main unko bta skti k Makafat e amal hamaisha un k saath hota hy. Jinki niyaat kisi b kaam ko anjaam dene k liye KHARAB ho. Ye to suna he hoga k aamal ka daro'madar hmaisha NIYAT pr hota hy. Tou jab koi b mard kisi b ghr ki izzat se khelta hy to wo lakh pardon main rakhy apni izzat ki ameen aurton ko. Allah ka teh kia howa qanoon hy k wo qarz us k apnay ghr se ada hoga. Allah se jang hy aisi batain kehna.

Subne apni qabron main apna hisaab dena hay. Ap ko kisne kaha hy k CALCULATING MACHINE le k ghr ghr phiro aur un aurton ki izzat aur haya ki percentages naptay phiro.

Ahtisaab kerna aur saza o jaza tajweez kerna Allah k kaam hain . Hum aam insano ko tou apni aamal ki kitab ki noak palaak sanwarney se he fursat nahi honi chahye.

Auraat ko her waqt tarazu main na tolain. Usay insan samjhain gajjer moli nahi.

Jo shaks apni nzron ki hifazat kryga us k ghar ki aurat Allah ki panah k hissar main hoti hain.

Mard bhi utna he gunagar hy kisi b gunnah ka murtakib ho k jitna gunahgaar auraat hoti hy kisi gunnah ko kerty howay.
Maine ajj tak koi hadees koi kahawat koi ayat nahi perhi jisme sirf "mard" hona bakshish ki wajah bna ho.

Mard ka bht uncha martaba rakha hy Allah ne. Baap ki sorat main, bhai ki sorat main, betay ki sorat main, shohar ki sorat main. Auraat ka darja mard se kam raakh k uski izzat main kami nahi ki gai hy. Balkay mard ko us k wajood ki hifazat k liye GUARD bna k uski nizakat ko naaz bukhsha gaya hy.
Izzatdaar mard uski b izzat kerta hy jiski izzat koi b nahi kerta.

Hmari society main mard ki pardaposhi k liye keh dia jata hy k ye to mard hy. Ya jawani main sb mard ye kerty hain. Matlab kisi b mard k gunah ki justification ye hy k mard hy.

Justifications duniya main chalaingi sirf. Kyoon k ye human made justification dunyawi jhooti tassali'yaan hain. Allah k yahan insaf ka tarazoo tulta hy. Jahan jins ka taayun kiye bagair aamal tolay jainge aur wahan hee'lay , waseelay kaam nahi anay. Na naam o nasb ki shujraay kam aney hain.

Fehmida Chaudhary arz kerti hain

Ker bhala ho bhala...
Berhta rhy
khair ka ye silsila...

Hoti nahi jinse hazam
Hmari khushi...
Khain wo Dabar ka Hajmola...😉😁😄

Written by Fehmida Chaudhary
28th june 2020

Labels: , , , , ,

Wednesday, June 24, 2020

Kiraye ka ghar...

Mujhay ab kisi ki di gai aziat pe rona nahi aata. Main ab hans parti hun. Her insan k niqab pert der pert dekhti hun aur dua kerti hun k Ae Allah mjhy in k shr se bacha. Mujhy ye kamil yaqeen hy k jita Allah mjhse azmaish chahta hy us se berh k koi mjhse bura nhi ker sakta.
Moat aur rizq Allah ne teh kiye howay hain. Kisi ki kya majal jo un me kami kry ya cheen lay. Shukr aur sabr khawahishon k bartan ko kabhi khali nhi honay detay.
Kam bolna kitna bara sukh hy agr mjhy pehley pata hota to main bolna seekhti he nahi. Dukh pe sabr ka ajer itna hota hy to main kabhi khushi mangti he nahi.

Duniya mjhy ab kiraye ka ghar lagti hy. Jahan Lord ka aik notice aye bagair he aik joray kafan main char kandhon pe laad k go gazz zameen main shifting kerni paraygi. Aur phir gin gin k aik aik hisaab.

Written by Fehmida Chaudhary
24th june 2020

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy.

Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya. Qasamain khana khail tamasha aur bat ker k mukr jana baen haath ka khail tha.

Munafiq ki pechan perhi thi kahin k jab bolay jhoot bolay. Amanat may khayanat kry aur wada kry to pora na kry. Amli tafseer jab dekhi tou mera dil bol utha. "Both are made for each other."

Logon se intiqam lene ki aag me jalne walay log kab khud Allah k attab ka shikar ho jain
Pata he nahi chalta.

Mein bohat khush hun k kisi ko tou koi apnay jesa mila.

Ujlay chehray aur kalaay dil se laakh behter hain wo kaalay chehray jin k dil ujlaay hun.

Allah k faislay kabhi bhi galat nahi hotay aur un se ikhtilaaf ker k Allah se jang nhi kerni chahye.

Guzar jannay wali zindagi wapis tou nahi asakti per apni galtiyon pe nidamat mehsoos ker k anay waly dinon ko behter bnaya ja sakta hy. Suna hy tauba rooh ko nikharti hy. Tauba ki taufeeq  b Allah he deta hy aur hidayat tab he milti hy jab niyat naik kerli jaye.

Ap kisi ki zindagi asan nhi ker sakty tou mushkil b na bnain. Jo pather ajj ap kisi ko kamzoor jaan k us k raasty me atk'aingay wo pahaar bn k apki saath nasloon ko bhugatna pryga. Allah jb kisi ko taqat deta hy tou uska zarf azmata hy. Jo taqat ka galat istemal kry wohi uski auqaat hy. Aur jo achy hotay hain wo ajjzi ikhtiar kertay hain aur Allah k Qeher ko dawat nahi detay. Kyoon k Allah ko jalal ata hy to bastiyon ki bastiyan tabab o barbad hojati hain. Firoun is duniya main ibraat ki sbse bari nishani hy.

Acha sochain, acha krain. Aur agr acha kernay ki chahat na ho to bura na kerna ko he apni adat bnalain. Aur Allah naik niyat per b sawab deta hy. Aur tumhain phir b der na lagay to socho qabr ki pehli raat, hisaab kitab aur amaal ki khaali kitab. Kya ab bhi jism pe larza taari nhi howa...?

Written by Fehmida Chaudhary
24 june 2020

Labels: , , , ,

Friday, June 19, 2020

Yaqeen...

Main aksar un logon ko jinse meri zindagi main milna jhulna rehta hy, dosti hy, rishta hy, ya kisi b hawalay se achi baat cheet hy, ye btati rehti hun k jo log meri wafa, mohabat ya khaloos ko halka letay hain ya dhutkgaar detay hain wo wapis palat ker meri janib zaroor atay hain. Jab main ye btati hun tou un logon ki tamus'khurana hansi main wazeeh taur per mehsoos kerti hun. Aur wo atay hain jab wo khud dhutkarey howey hotay hain, harey howay hotay hain, choat khaye howay hotay hain.

Main un k saath wapus wo sub nahi kerti jo wo meray saath ker k gaye hotay hain. Mjhy bht maza b ata unki ankhon main tahayur, tajub aur hairani dekh ker. Per mjhy kabhi pasheemani nazr nahi aye. Maufi mangay bagair mauf ker diye jany ko wo log apna haq samajh k wasool kertay hain aur phir meri hairani dekhne wali hoti hy. Haha

Main un logon k liye un logon ko mauf nahi kerti. Main to ye sb Allah ki raza k liye kerti hun. Mera Allah jab mjh pe yaqeen ker k mjhy naiki ka mauka deta hy tou main b wo moqa nahi gawati.

MAIN APNE ALLAH KA YAQEEN NAHI TOTNEY DETI AUR WO RAB MERA YAQEEN.
WO BHI 100% PROFIT K SAATH . MashAllah n Alhumdullilah.

Written by Fehmida Chaudhary
19th October 2019

Labels: , , ,

Life Resolution (InshAllah)...

Allah Pak insaan ko us k gumaan k mutabiq he ata kartay hain. Pehle main samajhti thi k iska matlab hy jo b dua krogay wo sb pori hongi. Nahi nahi iska ye matlab nahi hota. Gumaan ka sara ka sara daro'madaar YAQEEN per hota hy. "Yaqeen hy" her insaan yehi kehta hy per yaqeen honay ka bhi sara daro'madar isper hota hy k yaqeen ka mayaar kia hy?
Yaqeen ka mayar ya to MAZBOOT hota hy ya KAMZOOR. Jinka yaqeen mazboot hota hy unki ya to sub duain maqbool hojati hain aur rahain hamwar ya phir us insaan ki khawahishain k rukh aise more diye jatay hain k jab nateejay per hum WALLAH kehtey hain na to banda manta hy k mojzay bhi hotay hain. Aur yaqeen kamzoor rakhne walay log hamaisha kashmakash main he rehtay hain pata nahi Allah pak madad kraingay k nahi.
Mojzay lafz pe akser log mjhy tamuskurana andaaz main dekhne hain. Aur khawab o khayal main rehni wali k taney b martey hain aur ye bhi kehtay hain k zamana wo nahi.
Per kya kisi k knowledge main ye baat hy keh MOJZON ka taluq pichlay zamanay se he mansoob ker k kaha gaya ho keh naye zamany walay is se mustafeed nahi hongey?
Faraiz aur haqooq ka bhi silsila jura howa hy yaqeen se. Jab ap faraiz poray kertay hon aur haqooq na mil rahy hon to umeed kisi insaan se nahi lagani. Allah ki raza ki khatir, mohabat ki khatir, tawajaah ki khatir, sirf aur sirf us k liye sb nibhao to wo bhoolta nahi hy. Kabhi bhi. Hamara hisaab chukta ker k rehta hy.
0Maine haqooq ki shart pe kabhi faraiz nahi nibhaye aur na silay ki umeed rakhi per bilbila jati thi jb agay se burai milti. Per ab mera apnay RAB se promise hy keh main pori koshish ker k ye adat chor dongi. Mera gumaan strong hy to ye sb mjhy zaib nahi deta. Allah ki khushnodi k liye bus. Meray gumaan ki had bs mjhse mere RAB tak (InshAllah)
Written by Fehmida Chaudhary
17th October 2019

Labels: , , ,

Bara'paan

Barayy pan ka talluq na to umr se hy na he qad qath se. Main to ye kehti hun k umr may baray logon ka apne se chotay k saath kesa RAVAIYA hota hy, ye dekhne k liye apko kisi b qism k measuring scale ki zaroorat nahi. Barai cheekh dhaar k raub jama k, chotay ko daba k nahi milti. Qurbani aham juz hay is "barai" main. Aur qurbani b aisi keh faraiz nibhatey jao aur umeed mat bandho badlay ki, silay ki. Niyat ka mayaar jinta sacha aur khara hoga uska sila Allah ki taraf se milay ga. Na na ye galti kabhi na kerna. Insan se silay ki umeed rakhna mayoos ker deta hy insan ko aur mayoosi kufr hy.
Zaroori nhi k her ajer duniya main he mil jaye. Ye bewakoofi kabhi na kerna. Duniya ki zindgi ka sauda akhraat ki zindagi se na kerna...wo zindagi to hamesha rehne wali hy. Fani zindagi ka abadi zindagi se kia muqabala.?
Written by Fehmida Chaudhary
16th october 2019

Labels: , , ,

Meri MAaa...

Meri maa...aik farishta sift auraat thin. Zehen ki dehleez pe dhundli si yaadain hain. Jin main subah se raat gye tuk hamaisha unko ghar k kamon main masroof paya. Panch waqt ki namaz ki paband aur baqaidgi k saath quran ba tarjuma perhna aur heHir namaz k bad kuch khas zikr kerna b un k mamoolat ka hisa tha. Allah k sath unka bht mazboot rishta tha. Mene apni maa ko kabhi kisi k liye bura sochty ya kehty nhi dekha. Wo akser kehtin thin k achon k sath to sub acha kerty hain baat to tb hy jb tum buray k sath b acha kro. Hamaisha yehi bat sikhai k tum dosron k aeb dhanpo gay to Allah tumhari parda poshi kryga. Koi mehmaan ajaye to izzat aur khalos se uska maan berhana. Mene apni maa ko kabhi bhi Allah se shikwa kerty nhi dekha. Uthtay bethtay ya Allah tera shukr kehna b unki aadat thi. Akser hum behno ko samjhati k aurat ko mard se kbhi b naram ya methay lehjay main bat nhi kerni chahye. Sakht lehja hona chaheye taa keh samne wala apni haad main rahay.
Sabr kerna bardasht kerna b hamari maa ki tarbiat hy. Jawan saal baray bhai ki nagaahani moat per bhi maine unko yehi kehtay suna k ya Allah teri amanat thi tu ney leli. Shikwa na kia bus roo roo k apni ankhain aur sehat tabah kerli.
Maa jesa pyar duniya ka koi rishta nhi de sakta. Alfaaz kam hain aur latadaad khobiyan. Allah pak mere waldain k darjaat buland krain aur karwat karwat jannat naseeb farmain ameen sum ameen

Written by Fehmida Chaudhary

Labels: , , , ,

Thursday, June 18, 2020

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy?

Maine jawab dia...

Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry.

Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye.

Written by Fehmida Chaudhary
18th june 2020

Labels: , ,

Random thoughts... bus aisey he

Mujhy boht hairani hoti hy jab log kisi ko bhi dekh k apni raiy qaim ker lety hain. Aur phir us raiy ko zehan me mehfooz kr k tuss se muss nahi hoty. Unhe lagta hy jo wo sochty hain bus wohi sachai hy.

Hamara maushra aisa ban chuka hy k burai peeth peechy aur achai to na kisi main nazr aati hy na he bayan ki jaati hy aur na he maani jati hy k "achai hy".

Mera view point hy k hum apni zaat me mojood buriyoon ko dosron main khojtay hain. Jo jesa hota hy usay samnay wala bhi wesa he lgta hy. Jhotay ko pata hy wo jhoot bolta hy tb he usay lgta hy sb he jhoot boltay hain. Aik dhokaybaz ko lgta hy pori duniya he dhokhaybaz hy.

Bilkul isi terha masoom aur mukhlis logon ko bhi aisa he lgta hy k sb he un k jese hongay.

Pehlay mujhy lgta tha log apnay faiday k liye jhoot ka sahara letay hain phir jb duniya dekhi tou pata chala k nahi. Baaz log fitratun jhoot boltay hain.baaz log sirf dosron ki khushi se jal k takleef dene k liye bhi jhoot boltay hain. Baaz logon ko na jhoot ka faida hota na nuqsan wo bhi bus aisay he bol daity hain.

Insaan k pass jo cheez hoti hy wo wohi banta hy. Zarf walay hamisha nuqsan se khud bhi bachty hain aur apny ird gird k logon ko bhi is se mehfooz rakhne ki koshish kertay hain.

Nafratain bantne walon k liye is se berh k kia khasara hoga k wo 2(do) roza zindagi main b apny liye kuch kaama na sakay.

Khud bhi jee'ain aur dosron ko bhi jee lene dain. Phool nhi bant sakhty tou rasty main pary kanty tou utha k side pe rakh sakty hain na.

Niyat ka kamal hy bs warna her dekhaway ka amal wabaal hy, wabaal hy.

Written by Fehmida Chaudhary
18th june 2020


Labels: ,

Wednesday, June 10, 2020

Ae duniya...

Meray liye zindagi bohat asan hogai hy jab se maine Allah ko apna humraaz bnaya hy. Ye room mujhay do(2) gaaz ki qabr jitna lagta hy jahan main roz apni khud ahtasabi kerti hun. Rang barang k kapray khareed k kabhi wo khushi nahi mili jo khushi khud k liye kafan khareed k hoi. Ab bus is kafan ki safaidi ko daag se bachaney k liye her wo amal kerti hun jis se iski safaidi main chamak aur ujla pan rahy.
Main bohat khush hun "ae duniya"
Tere baray main jab se sochna chora.

Apnay piyare marhoom aziz o aqarib ko esal e sawal k liye bakhshty waqt main apna nam b leti hun. Bara sakoon mehsoos hota hy khud k liye esal o sawab kerna. Rongty kharay ho jatay thy pehly pehel jab ye kaam shuru kia. Phr rafta rafta acha lagne laga k apni zindagi main apnay liye bhi maine kuch kia hy.

Sadqa e jaria ka bhi intizaam kernay ki koshish ki hy. Allah qabool farmaye aur apnay hifz o aman main rakhy. Ameen sum ameen.

Maine teen beej boye bina is tamana k keh mujhy b in beejon se phootnay walay lehlahatey darakht ka saya mileyga. Wafa, khaloos, diyanat dari k pani se inko seerab kia hy. Lalach aur tamah se dur rakhney ki koshish main b Alhumdullilah qamyab tehri hun. Hasad aur keena jesi bemari se mehfooz rakhney k liye bhi Allah ka der, dosron ki khushyon main khush hona, dua dena, acha ker k silay ki umeed na rakhna aur dosron ki izzat kerna aur ahsaan kernay walay ka ahsaan man k uska maan berhana wagaira se hifazat k liye bhi Emaan aur Akhiraat k der ka spray b waqtan foqattan kerti rehti hun. Abhi phaal anay laga hy aur mera guman hy Rab sabr ka, niyat ka hisaab rakhty howe bht shireen phaal dega InshAllah.

Allah is duniya ki buri nazr aur buri aab o hawa  se mere in pod,don ko bachaye rakhy. Ya hafeezu Ya Allah. Ameen sum ameen


Monday, June 1, 2020

Mukhlisi....

Mujhy is baat se koi farq nahi perta k koi meray baray main kya sochta hy? Mujhay ye pta hy k meray Allah ko sub pta hy.
Koi izzat deta hy to dugni lotati hun. Koi thora jhukay main us se ziada jhuk jaati hun. Purkhaloos rehti hun hr achy buray k saath bina tawakow k. Per agr baat meri self respect ki ho, meri khudari ko tes ponchy tou main Us se nafrat nahi kerti jo mere saath ye sub kerta hy. Mjhy khudse nafrat hojati hy k meri sohbaat main ya mere khaloos main aser nahi jab he samne walay ko badl na pai. Main aise logon se khudko dur ker leti hun. Kyoon k dur kernay ka moqa amomun itni jaldi nahi aata meri bardash aur sabr o tahamul ki wajah se. Jahan se logon ka sabr end hota hy wahan se mera shuru hota hy. Main unko nhi marti apni zindagi main. Main khud ko mar deti hun unki zindagi main. Mukhlisi is se berh k aur kia nibhaon main...?

Written by Fehmida Chaudhary
1st june 2020

Labels: , , , , , ,

Niyaat...

Mujhy yaad hay k bachpan main meri ami meray is sawal per k Allah Tallah baray baray gunnah b mauf kr detay kisi buray insaan k sirf aur sirf aik dafa sidq e dil se maufi magnay per aur baz dafa naik insan ki saari naikiyan b kum per jaati hain aur aik galti per saza pata hy. Aisa kyoon hy?


  • Apnay tor per Ami mjhy mutmaen kernay k liye her dafa alag alag andaz main samjhati aur kuch time bad main soch soch k pareshan ho ho k phir wohi sawalat ami se kerti aur wo mjhy kuch b samjha k itminan dila deti'n.  Magar ye itminaan waqti hota tha. Main phir usi sawal ko soch soch k Allah se shikwa kerti ka aisa kyoon kia apne. Phir acha kaam kernay a kya faida jb burey insaan ne baazi le jani hy..


Magar

Jab se Fehmida Chaudhary ney duniya ko qareeb se dekha hy. Usay is sawal ka jawab khud he achy se samajh agay. Ab main pur'sukoon hun. Alhumdullilah

Yaqeenan main sbse share b krna chahongi.

Hmaray mazhaab main
AAMAL KA DARO MADAR NIYATON PER HY
btaya gaya hy.

Ibadatguzar insaan jab apni ibadat guzari, tahajud guzari, perhaiz gari per itranay lagta hy tou uski wo ibadat zaya ker di jaati hy.

Kyoon k TAQABUR CHAHEYE RAI K DANE JITNA HO HMARE AAMAL KO KHAA JATA HY.

Jab k dosri taraf jab ik gunahgaar ko Allah tauba ki taufeeq deta hy tou wo aah o zaari kerta hy aur Allah se aajizi se maufi ki darkhawast kerta hy.  Nidamat us k gunnahon ko dho deti hy.

Tou baat saari wahi agai NIYAT ki.
Pargeezgaar taqabur k nashy main sb naikiyon ko ganwa beth'ta hy aur gunahgar ko uski nidamat dhoo deti hy aur shafaf ker deti hy.

Written by Fehmida Chaudhary
1st june 2020

Labels: , , , , , , , , , ,

Fir’oun (فرعون)




Wese he bethay bethay soch rahi thi k shirk ki sirf yehi nishani btai jaati hy k Allah k aik honay main naa’auz billah inkaar kia jaye ya phir RAB ka shareek tehraya jaye tou wo mushrik hy.

Laikin yaka yuk aik baat zehan may ai TOU kia phr wo shirk nahi hy jab hum kisi ko kehtay hain k tum khuda ho kya jo hisaab kitaab ker rhy ho.? Jab k Khuda ki sift tou raheem o kareem hy. Jab k koi b aisa shakhs jo Allah ki wahdaniat ko challenge kerta hy wo FIR’OUN hy. Hisab kitab ka din muqarar hy aur hisab lene wala bhi Wohi Rab e Kainaat hy. Mene tou kahin nhi perha k hisab koi wali, pegumber, ya nabi lega, na he koi farishta is kaam ko kernay k liye muqarer kia gaya hy. Rizq aur mout Allah k haath hy. Jitna rizq likh dia gaya us se aik nieala oper milay ga na he aik niwala kam. Jo raat qabr main likhi hy wo wahin muyasir hogi. Pata nahi kis bat ka garoor hy insaan ko. Us ilm pe itrata hy jo dia bhi usi Rab ne hy.

Allah ki raasi daraz hy per aik jhatka sbki akr nikal deta hy. Dair kerta hy tah k insan waqt pe sambhal k simt badal le. Yaqeenan us k ghar andheer nahi.

Jo log sabr ki sil dil per rakh k sabr kertay hain un k liye kainat ka zarah zarah Allah se uski sifarish kerta hy. Jo log badlay aur hassad ki aag main jaltay hain un k liye samjho unkay seenay main he jahanum jesi dehekti aag sulagti rehti hy. Jab intikam ki aag itna chalta phirta insaan jala k khaakster ker deti hy tou jahanum ki aag tou phr kia he hogi.

Magar hum sb dosron k liye safaak bn jatay hain aur apnay liye maufi k khawast'gar. Firoun bn k logon ko judge kerna chor dain. Apni tyari pakrain kyoon k main apki qabr may aur aap meri qabr main nhi janay walay. Aur wahan Allah b wohi kryga hmare saath jo hum duniya main logon k saath krty hain.

Ana k maray baray baray firoun mout k agay dhair ho chuky hain. Jald ya baa'deer hmari appki baari b anay wali hy.

Written by Fehmida Chaudhary
1st june 2020