Tuesday, May 19, 2020

Waah...

Hassass logon ka kya hy? Wo to akhri had tak koshish kertay hain k agar kisi aziat denay walay ka karobaar uski zaat ko takhta e mushq bana ker faida hasil ker sakta hy toy wo akhri had tak khudko paish paish rakhy.

Aur jo log bachpan main mar k burhapy may dafan hotay hain. Wo to apna murda jism apnay he kandhay pe uthaye phirty hain aisi he naiki'yon ki talash main.

Kabhi kabhi wo apni he rooh ko esal e sawab ponchanay ki khatir wo dukh bhi dhotay hain jinka inki zaat se koi talluq nahi hota. Naikiyon ki talash main sergarda ye MAZLOOM log khud he MAKTOOL hotay hain aur khud he qatil bhi.

Apnay he daman ko taar taar kernay waly kanton ko bhi ye log mohabat se khud se alag ker k raasty se paray rakh detay hain. Taah k ainda na kisi musafir ki raah main aa k thokar khain aur na he kisi daman se lipat ker judai ka rog lagain.

Aisay log jo kanton ki chubhaan ko hans k seh jain aur phr b aah na krain tou waah to banti hy.

Written by Fehmida Chaudhary
19th may 2020

Labels: , ,

Nishani'yaan...




“Munafiqeen ko akhirat main jhahanum k sb se akheer aur nichly darjay main daala jayega.”
Main jab jab ye baat bayan main, kisi mazhabi kitab main ya kisi dars main sunti thi tou larz jaati thi mere jism ka ruwan ruwan kaanp uthta hy, raashaa honey lagta hy, takleef ka soch k ankhon main ansoo ajatay hain.

Jab pehli dafa ye suna tou hairat may perh gai k Allah tou Rehman O Raheem hy wo jab kisi ki aaaik naiki pasand ajaney per us k haazaron gunah mauf ker deta hy tou sirf Munafiq ki he nishandahi kyoon ki gai hy jahanum k nichly darjay se.

Phir rafta rafta Allah Pak mjhy iska jawab denay lagay. Kahin bahayan sun ker jawab mil jata, kabhi likha howa tarjuma ya tafseer perh k sawal hal honay laga.

Munafiq wo hota hy na jo hota kuch aur hy, dikhta kuch aur hy, sochta kuch hy aur bolta kuch aur hy. Qaul aur fail main tazad rakhta hy
Jahan apna faida dekhta hy bayaan badal deta hy. Hamaisha apnay faiday k liye dosron ka nuqsan kerta hy. An kaahi bhi thoop deta hy kisi pr bhi. Bina tehkeek k baat phelata hy. Jhooti qasmain khata hy sirf isliye k uski jhooti baat ko bhi such maan lia jaye.

Mukhtasir'aan ye k munafiq k zahir aur batin main kuch bhi yaksaniat nahi hy. Ye aik jumla lub e lubaab hy oper ki gai tafseer ka.

Her burai ki jar JHOOT se shuru hoti hy aur usi per khatum bhi.

Jhoot ki aik aur shaa'kh ya branch keh lain.....dhoka hy.

Gaur o fikr walon k liye sirf aik nasihaat kafi hoti hy. Jo roza nahi rakhta usko ye nahi kaha gaya k wo momin nahi. Jo namaz nahi perhta usko b momin ki rukniat se kharij nahi kiya gaya. Mager dhoka denay walon k liye saaf saaf kaha gaya hy k wo hum main se nahi. Momin ki membership he se inkaar ker dia gaya. Aur samajhney walon k liye to Allah ne wazeh nishaniyaan di hain. Agr hum samajhna chahain tou.

Written by Fehmida Chaudhary
19th May 2020

Labels: , , , ,

Thursday, May 14, 2020

Bey'chaar'gi...

Hospital k isolation ward may covid 19 yani k corona virus se affected aik mareez apnay ward ki seperation glass wall se bahir sehat mand chalty phirty logon ko aisay hasrat se dekhta hay jesay koi gareeb bacha apni quwat e khareed ki pohanch se dur showcase main rakhy kisi mehengy khilonay ko dekh ker machaltay dil ko samjhata hy k ye lahasil hy. Bilkul isi terha wo mareez pareshan ho ker sans lenay main mazeed dikkat mehsoos krnay laga. Dum ghutt'ta howa mehsoos honay laga. Ghar se koi b visit kernay nhi aya tha. Balkay restriction thi management ki tarf se. Aur kisi ghar walay nay koshish bhi na ki. Sans ukher'ta jaraha tha. Yaad aya k main kitny contacts bnata tha karobar main k ainda kam ayengay ye to socha he nahi tha k bebasi ka ye alam hoga k na rishtay kaam aaingay aur na dostiyaan. Shiddat se ahsaas horaha tha k ab jahan jaraha hun wahan k liye tou kuch kamaya na he rishta banaya Allah se. Dolat ghr asaishain meeting karobar se fursat he nahi mili kabhi. Sans ab dum tor raha tha. Bari aziat thi dum nikalne main. Dum bhi nikla aur gardan ka kham bhi. Ward boy uskay tarapty howey wajood ko sahara dene ki koshish main na'kaam honay ko tha k wo luqma e ajal bn k uski asani kr gaya.

Phir usay bina qafan aur gusal k aik polybag main daal ker chand logon ne dafna k ghr walon ko bhi khaber kerdi.

Kitna gafil hy na insan jis duniya k liye saari umr khawar hota hy. Paisey ki daur main rehta hy. Jaiz najaiz sb kerta hy. Akhir main sub yahin reh jata hy. Aur baz dafa aisi aafat hamain yehi samjhane aati hain k koi kisi ka nahi hy. Akhir main sirf ALLAH AUR WO insan he hota hy.

Allah se apnay rabtay kabhi munqita nahi kernay chaheye. Allah se rabta baahaal ho tou her mushkil asan hojati hy. Her tun'gi main wussat paida hojati hy. Jab insan Allah se had se ziada pyar kerta hy tou Allah bhi had se ziada nawazta hy. Yaqeen aur gumman wo cheiz hy jo Allah kabhi nahi torta. Emaan ka safar duniya tak hy. Duniya chund roza hy. Akhiraat daeemi hy. Uski tayari bhi zaroori hy. Dunidaari bhi aik had main sahi hy. Dil lagane ki jagah nahi hy duniya...amal kernay ki hy.

Written by Fehmida Chaudhary
14th May 2020

Saturday, May 9, 2020

Fitrat...

Haan hotain hain kuch mjh jesay pagal bhi. Taan dhapney ko tou pori balkay lambi aasteenain pehentay hain. Maqsad sirf taan dhanpna he nahi balkay ye hmari asteen bohat se sanpon ko chader b deti hy. Mausam k garam sard se bachati hy aur saath saath khoorak ka intizaam b hojata hy. Hmari shah rag se qatra qatra khoon inki mehboob gheeza ban jata hy. Jab piyas lgi tishnigni bujha li. Ye aab o hawa tab tk in ko raas aati hy jab tak shah raag se akhri khoon ki bond nhi nachor detay. Zaroori nahi koi khas he hun baaz dafa raah chalty befaiz logon ko bhi hum panah de detay hain k panah dena aur khoorak dena to sift e Khudawandi hy. Kisi insaan ko chun k he tou Allah ye guun deta hy k wo aison ka waseela bana dia jata hy.
Kabhi kabhi mera bhi dil chahta hy k main bhi aik aisi he asteen ka saiban dhondo phir us saiban ki shah raag k qareeb beth k jainamaz pe us asteen k waseelay k liye khoob duain mango aur us k saath laad kron. Duniya ko btadon k her asteen main panah guzeer honay wala sanp nahi hota. Sanp ki fitrat kabhi nahi badal sakti wo ya tou dasay ga ya phir kainchli utar day ga. Fitraatun zahrely log bhi aisay he hotay hain. Apne zeher ki numaish k liye unhe ye zeher dosron k dilon main utar k usay tarapta dekhna acha lgta hy. Aisay log na khud khush rehtay hain na dosron ko dekhna bardasht kertay hain. Maine b aik naagin k saath bachpan guzara aur dekh bhaal ki aur dekhtay he dekhtay wo azdahaa bn k meray poray wajood ko nigal gai. Uska dasa pani nahi mangta yehi kehtay hain log. Per mera pora jism usne nigal to lia hy per na ugal rahi hy na nigal rahi hy. Meri jaan kani ka manzar itna dil faraib lgta hy usay .
Main chahon tou dil pe war ker k naya paar lgon per haye wo meray jism o jaan ki raag raag se nichora howa khoon jo us k muh ko laga howa hy. Meri fitrat main murawat ki nami mjhy aisa kernay se rokti hy.

Fehmida Chaudhary
9th May 2020

Wednesday, May 6, 2020

Emaan...

Waisy tou emaan ki naap toal k liye Allah he BADSHAH hy laikin zindagi main kabhi kabhar hamain kisi insaan ki niat pe shak ho ya haqeeqatun hamain pta ho k wo insaan kesa hy? Is shak ki tasdeeq kernay k liye aap ya to us k pass koi Amanat rakhwa k wapsi ka takaza krlo. Ya phir us insaan k saath “Lain Dain” krlo. Jo bhi sabit hojaye wohi SACH hy.

Momin kabhi bhi jhoot nahi bolta
Momin amanat main khayanat nahi kerta.
Momin kisi ko izzah nahi ponchata.
Momin kisi izzatdaar to izzatdaar ....kabhi kisi badkirdar ki bhi beizzati nahi kerta.

Aur jo ye sb krta hy wo Momin to dor uski khaak baraber bhi nahi.
Aur unki to bakhshish he nahi jo kr k sharminda bhi na hun aur na tauba krain.
Allah Tallah hamain in sb cheizon se bachaye aur jo aisay hain un k shr se bachaye.
Ameen sum ameen

Fehmida Chaudhary
6th May 2020

Tuesday, May 5, 2020

Eid...

Eid se pehley eid manaye gay hum.
Moat ko jab galay lagain gey hum.

Fehmida Chaudhary
5th May 2020

Monday, May 4, 2020

Auqaat...





Insaan ki hasiat do terha ki hoti hain.
Aik tou fitri hasiat
Dosra maali hasiat

Fitrati hasiat asal main insaan ka asal hoti hy. Fitri hasiat insaan k ander “build in”nahi hoti balkay ye insaan ki umar k saath saath us k ander paida hoti jati hain aur wo insaan in aadat aatwar ko khud paal poss k “bara” kerta hy. Her insaan ki fitrat aik bachy ki terha hy. Jitne aadab aur lihaz sikhaoge naik fitrat bnyga aur jitna bigaro gay to sarkashi uska khassah banaygi.

Tarbiat kabhi bhi fitrat nahi badal sakti. Insaan ka ander wesa he banta hy jesa wo insaan hota hy. Jis terha hum kisi ki niat nahi bhanp sakty bilkul usi terha fitrat naapnay ka bhi koi paimana nahi.

Aik cheiz jo mjhy zindagi nay sikhai wo ye k kisi insaan ki fitrat sirf usi waqt pata chalti hy jab hum us shakhs ko kisi ko takleef ponchata dekhain ya phir us shakhs ko apni takleefon ka mawazeena dosron ki takleef se kerta dekhogay. Aur hamaisha us insaan ko apna dukh bara he lgyga aur dosry ka dukh hamaisha chota. Jab k dukh to chota ya bara nahi hota. Durd aur dukh sehnay ki salahiat her insan main alag alag hoti hy. Her insan ki CAPACITY k mutabiq he Allah kisi ko dukh deta hy. Bardasht se ziada nahi. Ye jo baray naik waali log hotay hain ye aam insan se ziada bardasht rakhne ki wajah se he tou Allah se jurtay hain. Ye Allah ki azmaish main poray uter ker he tou aala zarfi bardast k asman ko chootay hain...

Fitrat ki achai maal ki kaami ko pora ker sakti hy. Achay ikhaq ki wajah se.

Magar

Maal ki ziadti kabhi bhi fitrat ki khamiyon ko dhanp nahi sakhti. Sonay k pahaar hun ya heeron k haar kabhi bhi fitrat k aeb nahi chupa sakti.

Zarf jitna bara hoga utna he insaan bara hota jayega.

Kia hy na k kaamzarfi k piyalay may zaat ka ochaa pan uchal uchal k bahar aata hy. Piyalay ki wussat bhi is khami ko rok nahi paati.

Zarf may wussat tab bhi paida hoti hy jab aap hassad k hisaar se bahar atay ho. Kisi ki khushi cheen k dukh dey k insaan kabhi bhi bara nahi bnta. Baaz dafa hamaray jhuk k milney ko log hmari kamzori samajhty hain jab k phoolon ki aabyari main kanton se chot to lgti he hy na. Kanton k zakhm us phool ko dekh k mundamil hojatay hain.
Kanton ki chuphan k  daar se kabhi phool uganay bhi chorhtay hain bhala.

Written by Fehmida Chaudhary
3rd May 2020