Monday, June 1, 2020

Niyaat...

Mujhy yaad hay k bachpan main meri ami meray is sawal per k Allah Tallah baray baray gunnah b mauf kr detay kisi buray insaan k sirf aur sirf aik dafa sidq e dil se maufi magnay per aur baz dafa naik insan ki saari naikiyan b kum per jaati hain aur aik galti per saza pata hy. Aisa kyoon hy?


  • Apnay tor per Ami mjhy mutmaen kernay k liye her dafa alag alag andaz main samjhati aur kuch time bad main soch soch k pareshan ho ho k phir wohi sawalat ami se kerti aur wo mjhy kuch b samjha k itminan dila deti'n.  Magar ye itminaan waqti hota tha. Main phir usi sawal ko soch soch k Allah se shikwa kerti ka aisa kyoon kia apne. Phir acha kaam kernay a kya faida jb burey insaan ne baazi le jani hy..


Magar

Jab se Fehmida Chaudhary ney duniya ko qareeb se dekha hy. Usay is sawal ka jawab khud he achy se samajh agay. Ab main pur'sukoon hun. Alhumdullilah

Yaqeenan main sbse share b krna chahongi.

Hmaray mazhaab main
AAMAL KA DARO MADAR NIYATON PER HY
btaya gaya hy.

Ibadatguzar insaan jab apni ibadat guzari, tahajud guzari, perhaiz gari per itranay lagta hy tou uski wo ibadat zaya ker di jaati hy.

Kyoon k TAQABUR CHAHEYE RAI K DANE JITNA HO HMARE AAMAL KO KHAA JATA HY.

Jab k dosri taraf jab ik gunahgaar ko Allah tauba ki taufeeq deta hy tou wo aah o zaari kerta hy aur Allah se aajizi se maufi ki darkhawast kerta hy.  Nidamat us k gunnahon ko dho deti hy.

Tou baat saari wahi agai NIYAT ki.
Pargeezgaar taqabur k nashy main sb naikiyon ko ganwa beth'ta hy aur gunahgar ko uski nidamat dhoo deti hy aur shafaf ker deti hy.

Written by Fehmida Chaudhary
1st june 2020

Labels: , , , , , , , , , ,

Tuesday, May 19, 2020

Nishani'yaan...




“Munafiqeen ko akhirat main jhahanum k sb se akheer aur nichly darjay main daala jayega.”
Main jab jab ye baat bayan main, kisi mazhabi kitab main ya kisi dars main sunti thi tou larz jaati thi mere jism ka ruwan ruwan kaanp uthta hy, raashaa honey lagta hy, takleef ka soch k ankhon main ansoo ajatay hain.

Jab pehli dafa ye suna tou hairat may perh gai k Allah tou Rehman O Raheem hy wo jab kisi ki aaaik naiki pasand ajaney per us k haazaron gunah mauf ker deta hy tou sirf Munafiq ki he nishandahi kyoon ki gai hy jahanum k nichly darjay se.

Phir rafta rafta Allah Pak mjhy iska jawab denay lagay. Kahin bahayan sun ker jawab mil jata, kabhi likha howa tarjuma ya tafseer perh k sawal hal honay laga.

Munafiq wo hota hy na jo hota kuch aur hy, dikhta kuch aur hy, sochta kuch hy aur bolta kuch aur hy. Qaul aur fail main tazad rakhta hy
Jahan apna faida dekhta hy bayaan badal deta hy. Hamaisha apnay faiday k liye dosron ka nuqsan kerta hy. An kaahi bhi thoop deta hy kisi pr bhi. Bina tehkeek k baat phelata hy. Jhooti qasmain khata hy sirf isliye k uski jhooti baat ko bhi such maan lia jaye.

Mukhtasir'aan ye k munafiq k zahir aur batin main kuch bhi yaksaniat nahi hy. Ye aik jumla lub e lubaab hy oper ki gai tafseer ka.

Her burai ki jar JHOOT se shuru hoti hy aur usi per khatum bhi.

Jhoot ki aik aur shaa'kh ya branch keh lain.....dhoka hy.

Gaur o fikr walon k liye sirf aik nasihaat kafi hoti hy. Jo roza nahi rakhta usko ye nahi kaha gaya k wo momin nahi. Jo namaz nahi perhta usko b momin ki rukniat se kharij nahi kiya gaya. Mager dhoka denay walon k liye saaf saaf kaha gaya hy k wo hum main se nahi. Momin ki membership he se inkaar ker dia gaya. Aur samajhney walon k liye to Allah ne wazeh nishaniyaan di hain. Agr hum samajhna chahain tou.

Written by Fehmida Chaudhary
19th May 2020

Labels: , , , ,

Wednesday, April 22, 2020

Munfarid...





Zaroori nahi k insaan munfarid bn’nay k chakker may tanha reh jata hy. Kabhi kabhi aisa bhi hota hy k munafiqat se anjaan insaan ko kyon k duniya’daari nahi aati tou wo jo hota hy wohi nazar aata hy. Jo sochta hy wohi zubaan per hota hy. Isi wajah se wo insaan jaald parakh lia jata hy. Aur kyoon k us main koi cheiz bnawaati nahi hoti isiliye us ki aadat o atwaar khuli kitab ki terha hoti hy. Koi b baa’asani sb perh sakta hy, jaan sakta hy.

Jab k jin logon k alag alag roop hotay hain aur jo moqay k lihaz se apnay niqab badalty rehtay hain wo hamaisha he HOT CAKE hotay hain kisi b maumlay may apnay apko ajdust kerna unhain khoob ata hy.

Jadeed daur k in waqton main jald aur asani se samajh ajane walay log OUT DATED samjhy jatay hain. Aur girgit ki terha rang badalne wale log is daur main IN hain.

In aur out ki race main sub he lgy paray hain. Middle kahin aata he nahi. Aur aadha teetar aadha batair he bn k reh gaye hum. Kawa hans ki chal chala to apni bhool gaya. Pata nahi insaan kb tak munfarid nazr anay k chaket may apni shaksiat mask kerta rahay ga.

Written by Fehmida Chaudhary
22 april 2020 

Labels: , , , ,