Skip to main content

Posts

Showing posts from 2020

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah

Galti...

Izzat, Lehaaz, Ahtaram aur Murawat ki maari howi aurat k saath jaiz haq tak cheer chaar krain. Jaiz had matlab uski bardasht ki akhri line se tajawuz ki galti na he krain to behter hay. Ye na ho k In izzat lihaaz ahtaram aur murawat ko wo alfaaz ki had main rehtay howay ap ki jism k rowey k rongtay kharay ker day aur boti boti ka reesha laraz k reh jaye. Alfaaz ka zero bomb, ziatiyon k gola barood k bhi parakhchy ura sakta hy. Kisi k nafrat k aatishdaan ki lambi lapton wali aag ko bujhaney k liye mazloom ki ankh ka aik ansoo ka qatra he bht hota hy. Written by Fehmida Chaudhary 4th july 2020

Ae’saal’ -e- sawab...

Jis terha “Rooh” k nikal jane k bad jism kisi kaam ka nahi rehta isi liye manon mitti tallay daba dia jata hy. Bilkul isi terha agr kisi orat k dil se uski “IZZAT” ka der nikal jaye to wo usi murday k jesi he hoti hy jis ki rooh uska jism chor chuki ho. Amomum aurat nam he “IZZAT AUR HAYA” . Izzat ka der her aurat ko he hota hy per yahan per baat us izzatdaar aurat ki horhi hy jiska fakhr aur maan uski haya aur pakeezgi uska assassa e hayat hoti hy. Aisi roohon k faislay duniya ki alooda fiza main teh nahi kiye jatay. Un cases ki sunwai ALLAH KI ADALAT may hoti hy jahan Allah he Judge hy. Wohi waqeel aur wohi gawaah. Koi deal hoti hy na he kafara ya kasaas hota hy. Kyoon k kafara galtiyon ka hota hy gunnah ki tou saza hoti hy na. Aur apnay murda jism zindagi Bhar apne he kandhon pe laad k phirney walon ko zinda tasawer krna he nhi chaheye. Kafaray zinda wajood ki ziati k ada kiye jatay hain. Maray howey wajood k liye tou AE’SAAL’ - E - SAWAB kia jata hy. Written by Fehmida Chaudhar

Kuch achi batain...

Ibadatguzar banday ka ibadat kernay pe takabur kerna bilkul aisa hy jesay kisi chez ko deemak ander he ander khaa jaye aur akhir may wo cheiz tewara k zameen bose hojaye. Sari umr apni ibadaton k khumaar main rehnay walay jab Allah ki baargaah main hazir hotay hain tou un ki peeshani ka teeka ya hajj umron ki tadaad,  rozay ki qaboliat ya tadad ka hisaab nahi hota. Gaur kijiyega. Taadad maani nhi rakhi. Niyat ka ajer dia jayega. Mene ye observe kia hy k hmare yahan namaz, roza,hajj kerne walay ya kuch hifz kernay walay khud he khudko "Naik" samajh k jannat k haqdar samajh letay hain. Aur bajaye is k keh wo log ajzi ikhtiar krain aur ikhlaq ki passdari kertay howay deen ki mohabat logon k dilon main paida krain. Wo apnay app ko aala tareen musalman samajh ker dosron ki tazleel kerna shuru kr detay hain. Kufr k bad sakht tareen gunnah kisi musalman ki beizzati kerna hy.  Meri ammi nay hmari jin khatoot pe tarbiat ki hy un main namaz rozay k ilawa b beshumar che

RAB ka kam ... RAB he janey...

Instagram pay aik post perhnay ka moqa mila jisme kisi mausoof nay makafat e amal se mutalik likha tha k mard ko hi kyoon makafat e amal sehna pryga jo larki maa baap ki izzat daar charhati hy wo b utna he haqdar hy makafat e amal ki. Ye zehniyaat perh k kuch to mae saktay may agai k waah kya taujeeh pesh ki hy. Mere bas me ho tou aesi soch k tamam mard hazrat k demagh ki nasain nikal k aik he dafa aab e zaam zaam se dho k ye lagu'yaat nikal dun. Kash main unko bta skti k Makafat e amal hamaisha un k saath hota hy. Jinki niyaat kisi b kaam ko anjaam dene k liye KHARAB ho. Ye to suna he hoga k aamal ka daro'madar hmaisha NIYAT pr hota hy. Tou jab koi b mard kisi b ghr ki izzat se khelta hy to wo lakh pardon main rakhy apni izzat ki ameen aurton ko. Allah ka teh kia howa qanoon hy k wo qarz us k apnay ghr se ada hoga. Allah se jang hy aisi batain kehna. Subne apni qabron main apna hisaab dena hay. Ap ko kisne kaha hy k CALCULATING MACHINE le k ghr ghr phiro aur un aurton

Kiraye ka ghar...

Mujhay ab kisi ki di gai aziat pe rona nahi aata. Main ab hans parti hun. Her insan k niqab pert der pert dekhti hun aur dua kerti hun k Ae Allah mjhy in k shr se bacha. Mujhy ye kamil yaqeen hy k jita Allah mjhse azmaish chahta hy us se berh k koi mjhse bura nhi ker sakta. Moat aur rizq Allah ne teh kiye howay hain. Kisi ki kya majal jo un me kami kry ya cheen lay. Shukr aur sabr khawahishon k bartan ko kabhi khali nhi honay detay. Kam bolna kitna bara sukh hy agr mjhy pehley pata hota to main bolna seekhti he nahi. Dukh pe sabr ka ajer itna hota hy to main kabhi khushi mangti he nahi. Duniya mjhy ab kiraye ka ghar lagti hy. Jahan Lord ka aik notice aye bagair he aik joray kafan main char kandhon pe laad k go gazz zameen main shifting kerni paraygi. Aur phir gin gin k aik aik hisaab. Written by Fehmida Chaudhary 24th june 2020

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.

Yaqeen...

Main aksar un logon ko jinse meri zindagi main milna jhulna rehta hy, dosti hy, rishta hy, ya kisi b hawalay se achi baat cheet hy, ye btati rehti hun k jo log meri wafa, mohabat ya khaloos ko halka letay hain ya dhutkgaar detay hain wo wapis palat ker meri janib zaroor atay hain. Jab main ye btati hun tou un logon ki tamus'khurana hansi main wazeeh taur per mehsoos kerti hun. Aur wo atay hain jab wo khud dhutkarey howey hotay hain, harey howay hotay hain, choat khaye howay hotay hain. Main un k saath wapus wo sub nahi kerti jo wo meray saath ker k gaye hotay hain. Mjhy bht maza b ata unki ankhon main tahayur, tajub aur hairani dekh ker. Per mjhy kabhi pasheemani nazr nahi aye. Maufi mangay bagair mauf ker diye jany ko wo log apna haq samajh k wasool kertay hain aur phir meri hairani dekhne wali hoti hy. Haha Main un logon k liye un logon ko mauf nahi kerti. Main to ye sb Allah ki raza k liye kerti hun. Mera Allah jab mjh pe yaqeen ker k mjhy naiki ka mauka deta hy tou main b

Life Resolution (InshAllah)...

Allah Pak insaan ko us k gumaan k mutabiq he ata kartay hain. Pehle main samajhti thi k iska matlab hy jo b dua krogay wo sb pori hongi. Nahi nahi iska ye matlab nahi hota. Gumaan ka sara ka sara daro'madaar YAQEEN per hota hy. "Yaqeen hy" her insaan yehi kehta hy per yaqeen honay ka bhi sara daro'madar isper hota hy k yaqeen ka mayaar kia hy? Yaqeen ka mayar ya to MAZBOOT hota hy ya KAMZOOR. Jinka yaqeen mazboot hota hy unki ya to sub duain maqbool hojati hain aur rahain hamwar ya phir us insaan ki khawahishain k rukh aise more diye jatay hain k jab nateejay per hum WALLAH kehtey hain na to banda manta hy k mojzay bhi hotay hain. Aur yaqeen kamzoor rakhne walay log hamaisha kashmakash main he rehtay hain pata nahi Allah pak madad kraingay k nahi. Mojzay lafz pe akser log mjhy tamuskurana andaaz main dekhne hain. Aur khawab o khayal main rehni wali k taney b martey hain aur ye bhi kehtay hain k zamana wo nahi. Per kya kisi k knowledge main ye baat hy keh MOJZON

Bara'paan

Barayy pan ka talluq na to umr se hy na he qad qath se. Main to ye kehti hun k umr may baray logon ka apne se chotay k saath kesa RAVAIYA hota hy, ye dekhne k liye apko kisi b qism k measuring scale ki zaroorat nahi. Barai cheekh dhaar k raub jama k, chotay ko daba k nahi milti. Qurbani aham juz hay is "barai" main. Aur qurbani b aisi keh faraiz nibhatey jao aur umeed mat bandho badlay ki, silay ki. Niyat ka mayaar jinta sacha aur khara hoga uska sila Allah ki taraf se milay ga. Na na ye galti kabhi na kerna. Insan se silay ki umeed rakhna mayoos ker deta hy insan ko aur mayoosi kufr hy. Zaroori nhi k her ajer duniya main he mil jaye. Ye bewakoofi kabhi na kerna. Duniya ki zindgi ka sauda akhraat ki zindagi se na kerna...wo zindagi to hamesha rehne wali hy. Fani zindagi ka abadi zindagi se kia muqabala.? Written by Fehmida Chaudhary 16th october 2019

Meri MAaa...

Meri maa...aik farishta sift auraat thin. Zehen ki dehleez pe dhundli si yaadain hain. Jin main subah se raat gye tuk hamaisha unko ghar k kamon main masroof paya. Panch waqt ki namaz ki paband aur baqaidgi k saath quran ba tarjuma perhna aur heHir namaz k bad kuch khas zikr kerna b un k mamoolat ka hisa tha. Allah k sath unka bht mazboot rishta tha. Mene apni maa ko kabhi kisi k liye bura sochty ya kehty nhi dekha. Wo akser kehtin thin k achon k sath to sub acha kerty hain baat to tb hy jb tum buray k sath b acha kro. Hamaisha yehi bat sikhai k tum dosron k aeb dhanpo gay to Allah tumhari parda poshi kryga. Koi mehmaan ajaye to izzat aur khalos se uska maan berhana. Mene apni maa ko kabhi bhi Allah se shikwa kerty nhi dekha. Uthtay bethtay ya Allah tera shukr kehna b unki aadat thi. Akser hum behno ko samjhati k aurat ko mard se kbhi b naram ya methay lehjay main bat nhi kerni chahye. Sakht lehja hona chaheye taa keh samne wala apni haad main rahay. Sabr kerna bardasht kerna b hamar

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Random thoughts... bus aisey he

Mujhy boht hairani hoti hy jab log kisi ko bhi dekh k apni raiy qaim ker lety hain. Aur phir us raiy ko zehan me mehfooz kr k tuss se muss nahi hoty. Unhe lagta hy jo wo sochty hain bus wohi sachai hy. Hamara maushra aisa ban chuka hy k burai peeth peechy aur achai to na kisi main nazr aati hy na he bayan ki jaati hy aur na he maani jati hy k "achai hy". Mera view point hy k hum apni zaat me mojood buriyoon ko dosron main khojtay hain. Jo jesa hota hy usay samnay wala bhi wesa he lgta hy. Jhotay ko pata hy wo jhoot bolta hy tb he usay lgta hy sb he jhoot boltay hain. Aik dhokaybaz ko lgta hy pori duniya he dhokhaybaz hy. Bilkul isi terha masoom aur mukhlis logon ko bhi aisa he lgta hy k sb he un k jese hongay. Pehlay mujhy lgta tha log apnay faiday k liye jhoot ka sahara letay hain phir jb duniya dekhi tou pata chala k nahi. Baaz log fitratun jhoot boltay hain.baaz log sirf dosron ki khushi se jal k takleef dene k liye bhi jhoot boltay hain. Baaz logon ko na jhoot ka

Ae duniya...

Meray liye zindagi bohat asan hogai hy jab se maine Allah ko apna humraaz bnaya hy. Ye room mujhay do(2) gaaz ki qabr jitna lagta hy jahan main roz apni khud ahtasabi kerti hun. Rang barang k kapray khareed k kabhi wo khushi nahi mili jo khushi khud k liye kafan khareed k hoi. Ab bus is kafan ki safaidi ko daag se bachaney k liye her wo amal kerti hun jis se iski safaidi main chamak aur ujla pan rahy. Main bohat khush hun "ae duniya" Tere baray main jab se sochna chora. Apnay piyare marhoom aziz o aqarib ko esal e sawal k liye bakhshty waqt main apna nam b leti hun. Bara sakoon mehsoos hota hy khud k liye esal o sawab kerna. Rongty kharay ho jatay thy pehly pehel jab ye kaam shuru kia. Phr rafta rafta acha lagne laga k apni zindagi main apnay liye bhi maine kuch kia hy. Sadqa e jaria ka bhi intizaam kernay ki koshish ki hy. Allah qabool farmaye aur apnay hifz o aman main rakhy. Ameen sum ameen. Maine teen beej boye bina is tamana k keh mujhy b in beejon se phootnay w

Mukhlisi....

Mujhy is baat se koi farq nahi perta k koi meray baray main kya sochta hy? Mujhay ye pta hy k meray Allah ko sub pta hy. Koi izzat deta hy to dugni lotati hun. Koi thora jhukay main us se ziada jhuk jaati hun. Purkhaloos rehti hun hr achy buray k saath bina tawakow k. Per agr baat meri self respect ki ho, meri khudari ko tes ponchy tou main Us se nafrat nahi kerti jo mere saath ye sub kerta hy. Mjhy khudse nafrat hojati hy k meri sohbaat main ya mere khaloos main aser nahi jab he samne walay ko badl na pai. Main aise logon se khudko dur ker leti hun. Kyoon k dur kernay ka moqa amomun itni jaldi nahi aata meri bardash aur sabr o tahamul ki wajah se. Jahan se logon ka sabr end hota hy wahan se mera shuru hota hy. Main unko nhi marti apni zindagi main. Main khud ko mar deti hun unki zindagi main. Mukhlisi is se berh k aur kia nibhaon main...? Written by Fehmida Chaudhary 1st june 2020

Niyaat...

Mujhy yaad hay k bachpan main meri ami meray is sawal per k Allah Tallah baray baray gunnah b mauf kr detay kisi buray insaan k sirf aur sirf aik dafa sidq e dil se maufi magnay per aur baz dafa naik insan ki saari naikiyan b kum per jaati hain aur aik galti per saza pata hy. Aisa kyoon hy? Apnay tor per Ami mjhy mutmaen kernay k liye her dafa alag alag andaz main samjhati aur kuch time bad main soch soch k pareshan ho ho k phir wohi sawalat ami se kerti aur wo mjhy kuch b samjha k itminan dila deti'n.  Magar ye itminaan waqti hota tha. Main phir usi sawal ko soch soch k Allah se shikwa kerti ka aisa kyoon kia apne. Phir acha kaam kernay a kya faida jb burey insaan ne baazi le jani hy.. Magar Jab se Fehmida Chaudhary ney duniya ko qareeb se dekha hy. Usay is sawal ka jawab khud he achy se samajh agay. Ab main pur'sukoon hun. Alhumdullilah Yaqeenan main sbse share b krna chahongi. Hmaray mazhaab main AAMAL KA DARO MADAR NIYATON PER HY btaya gaya hy. Ibadatguza

Fir’oun (فرعون)

Wese he bethay bethay soch rahi thi k shirk ki sirf yehi nishani btai jaati hy k Allah k aik honay main naa’auz billah inkaar kia jaye ya phir RAB ka shareek tehraya jaye tou wo mushrik hy. Laikin yaka yuk aik baat zehan may ai TOU kia phr wo shirk nahi hy jab hum kisi ko kehtay hain k tum khuda ho kya jo hisaab kitaab ker rhy ho.? Jab k Khuda ki sift tou raheem o kareem hy. Jab k koi b aisa shakhs jo Allah ki wahdaniat ko challenge kerta hy wo FIR’OUN hy. Hisab kitab ka din muqarar hy aur hisab lene wala bhi Wohi Rab e Kainaat hy. Mene tou kahin nhi perha k hisab koi wali, pegumber, ya nabi lega, na he koi farishta is kaam ko kernay k liye muqarer kia gaya hy. Rizq aur mout Allah k haath hy. Jitna rizq likh dia gaya us se aik nieala oper milay ga na he aik niwala kam. Jo raat qabr main likhi hy wo wahin muyasir hogi. Pata nahi kis bat ka garoor hy insaan ko. Us ilm pe itrata hy jo dia bhi usi Rab ne hy. Allah ki raasi daraz hy per aik jhatka sbki akr nikal deta hy. Dair kerta

Waah...

Hassass logon ka kya hy? Wo to akhri had tak koshish kertay hain k agar kisi aziat denay walay ka karobaar uski zaat ko takhta e mushq bana ker faida hasil ker sakta hy toy wo akhri had tak khudko paish paish rakhy. Aur jo log bachpan main mar k burhapy may dafan hotay hain. Wo to apna murda jism apnay he kandhay pe uthaye phirty hain aisi he naiki'yon ki talash main. Kabhi kabhi wo apni he rooh ko esal e sawab ponchanay ki khatir wo dukh bhi dhotay hain jinka inki zaat se koi talluq nahi hota. Naikiyon ki talash main sergarda ye MAZLOOM log khud he MAKTOOL hotay hain aur khud he qatil bhi. Apnay he daman ko taar taar kernay waly kanton ko bhi ye log mohabat se khud se alag ker k raasty se paray rakh detay hain. Taah k ainda na kisi musafir ki raah main aa k thokar khain aur na he kisi daman se lipat ker judai ka rog lagain. Aisay log jo kanton ki chubhaan ko hans k seh jain aur phr b aah na krain tou waah to banti hy. Written by Fehmida Chaudhary 19th may 2020

Nishani'yaan...

“Munafiqeen ko akhirat main jhahanum k sb se akheer aur nichly darjay main daala jayega.” Main jab jab ye baat bayan main, kisi mazhabi kitab main ya kisi dars main sunti thi tou larz jaati thi mere jism ka ruwan ruwan kaanp uthta hy, raashaa honey lagta hy, takleef ka soch k ankhon main ansoo ajatay hain. Jab pehli dafa ye suna tou hairat may perh gai k Allah tou Rehman O Raheem hy wo jab kisi ki aaaik naiki pasand ajaney per us k haazaron gunah mauf ker deta hy tou sirf Munafiq ki he nishandahi kyoon ki gai hy jahanum k nichly darjay se. Phir rafta rafta Allah Pak mjhy iska jawab denay lagay. Kahin bahayan sun ker jawab mil jata, kabhi likha howa tarjuma ya tafseer perh k sawal hal honay laga. Munafiq wo hota hy na jo hota kuch aur hy, dikhta kuch aur hy, sochta kuch hy aur bolta kuch aur hy. Qaul aur fail main tazad rakhta hy Jahan apna faida dekhta hy bayaan badal deta hy. Hamaisha apnay faiday k liye dosron ka nuqsan kerta hy. An kaahi bhi thoop deta hy kisi pr bhi. Bi

Bey'chaar'gi...

Hospital k isolation ward may covid 19 yani k corona virus se affected aik mareez apnay ward ki seperation glass wall se bahir sehat mand chalty phirty logon ko aisay hasrat se dekhta hay jesay koi gareeb bacha apni quwat e khareed ki pohanch se dur showcase main rakhy kisi mehengy khilonay ko dekh ker machaltay dil ko samjhata hy k ye lahasil hy. Bilkul isi terha wo mareez pareshan ho ker sans lenay main mazeed dikkat mehsoos krnay laga. Dum ghutt'ta howa mehsoos honay laga. Ghar se koi b visit kernay nhi aya tha. Balkay restriction thi management ki tarf se. Aur kisi ghar walay nay koshish bhi na ki. Sans ukher'ta jaraha tha. Yaad aya k main kitny contacts bnata tha karobar main k ainda kam ayengay ye to socha he nahi tha k bebasi ka ye alam hoga k na rishtay kaam aaingay aur na dostiyaan. Shiddat se ahsaas horaha tha k ab jahan jaraha hun wahan k liye tou kuch kamaya na he rishta banaya Allah se. Dolat ghr asaishain meeting karobar se fursat he nahi mili kabhi. Sans ab dum

Fitrat...

Haan hotain hain kuch mjh jesay pagal bhi. Taan dhapney ko tou pori balkay lambi aasteenain pehentay hain. Maqsad sirf taan dhanpna he nahi balkay ye hmari asteen bohat se sanpon ko chader b deti hy. Mausam k garam sard se bachati hy aur saath saath khoorak ka intizaam b hojata hy. Hmari shah rag se qatra qatra khoon inki mehboob gheeza ban jata hy. Jab piyas lgi tishnigni bujha li. Ye aab o hawa tab tk in ko raas aati hy jab tak shah raag se akhri khoon ki bond nhi nachor detay. Zaroori nahi koi khas he hun baaz dafa raah chalty befaiz logon ko bhi hum panah de detay hain k panah dena aur khoorak dena to sift e Khudawandi hy. Kisi insaan ko chun k he tou Allah ye guun deta hy k wo aison ka waseela bana dia jata hy. Kabhi kabhi mera bhi dil chahta hy k main bhi aik aisi he asteen ka saiban dhondo phir us saiban ki shah raag k qareeb beth k jainamaz pe us asteen k waseelay k liye khoob duain mango aur us k saath laad kron. Duniya ko btadon k her asteen main panah guzeer honay wala san

Emaan...

Waisy tou emaan ki naap toal k liye Allah he BADSHAH hy laikin zindagi main kabhi kabhar hamain kisi insaan ki niat pe shak ho ya haqeeqatun hamain pta ho k wo insaan kesa hy? Is shak ki tasdeeq kernay k liye aap ya to us k pass koi Amanat rakhwa k wapsi ka takaza krlo. Ya phir us insaan k saath “Lain Dain” krlo. Jo bhi sabit hojaye wohi SACH hy. Momin kabhi bhi jhoot nahi bolta Momin amanat main khayanat nahi kerta. Momin kisi ko izzah nahi ponchata. Momin kisi izzatdaar to izzatdaar ....kabhi kisi badkirdar ki bhi beizzati nahi kerta. Aur jo ye sb krta hy wo Momin to dor uski khaak baraber bhi nahi. Aur unki to bakhshish he nahi jo kr k sharminda bhi na hun aur na tauba krain. Allah Tallah hamain in sb cheizon se bachaye aur jo aisay hain un k shr se bachaye. Ameen sum ameen Fehmida Chaudhary 6th May 2020

Auqaat...

Insaan ki hasiat do terha ki hoti hain. Aik tou fitri hasiat Dosra maali hasiat Fitrati hasiat asal main insaan ka asal hoti hy. Fitri hasiat insaan k ander “build in”nahi hoti balkay ye insaan ki umar k saath saath us k ander paida hoti jati hain aur wo insaan in aadat aatwar ko khud paal poss k “bara” kerta hy. Her insaan ki fitrat aik bachy ki terha hy. Jitne aadab aur lihaz sikhaoge naik fitrat bnyga aur jitna bigaro gay to sarkashi uska khassah banaygi. Tarbiat kabhi bhi fitrat nahi badal sakti. Insaan ka ander wesa he banta hy jesa wo insaan hota hy. Jis terha hum kisi ki niat nahi bhanp sakty bilkul usi terha fitrat naapnay ka bhi koi paimana nahi. Aik cheiz jo mjhy zindagi nay sikhai wo ye k kisi insaan ki fitrat sirf usi waqt pata chalti hy jab hum us shakhs ko kisi ko takleef ponchata dekhain ya phir us shakhs ko apni takleefon ka mawazeena dosron ki takleef se kerta dekhogay. Aur hamaisha us insaan ko apna dukh bara he lgyga aur dosry ka dukh hamaisha chota. Ja

Bulbul ki kahani _part 01

Main jo bhi kuch likhti hun wo meri he kahani ho aisa bilkul nahi hy per ye sach hy k ye sub jo main likhti hun aap betiyan hain logon ki jinhain main janti hun ya jinse kabhi mili hun. Her insan ki alag alag kahani hy. Bas pardaposhi ki wajah se nam aur jaga ya khandaan btana main zaroori nahi samajhti. Mera maqsad sirf aur sirf ye hota hy k dosron k haalat waqiat hamain sabaq aur tajurbay ki baat btaty hain aur hm pe beeti un k liye ahtiat hoti hy. Insaan ta'umr seekhta hy. Jab insan ye soch ley k wo afzal hy usay sb pta hy to ye uski tabahi ka baiss bnta hy. Ilm kitaab aalim he dars ka baiss nahi. Kuch cheizain hmain seh ker he samajh aati hain. Bulbul meri dost thi jo k ab nhi rahi is duniya main. Ajj bethay bethay yaad aggai. Maa baap apni jaan armaan maar k aik aulad ko paalty hain . Wo kabhi bhi jaan bojh ker aulad k liye bura nahi kertay. Per kuch percent hain bhi jo larkiyon ko bojh samajh k bs apne farz se subukdosh hona chahtey hain. Sub ki apni apni soch hy . Mer

Ghattay ka sauda...

Duniya main kisi k saath kisi bhi qism ki ziadti ker k, dukh pohancha k, neecha dekha k, nuqsan ker k jo bhi log khush hotay hain k unhon ne bohat bara karnama anjaam dia hy. Tou mjhy jahan bhi aisa kuch dikhta hy tou main aziat se muskura jaati hun k bdmast hathi ki terha masoom dilon ko rondnay walay log kitnay ghattay ka soda kerty hain. Zara c dunyawi aker k liye wo apni akhrat kharab kertay hain aur kam khushi k liye daa'e'mee aziat khareed letay hain. Cum pe ziada ka nuqsan krty ye log jb Allah ki adalat may jain gay tou kya hoga....? Written by Fehmida Chaudhary 28 April 2020 3:24 a.m

Allah ka der...

ALLAH "ka" der Aur ALLAH "se" der Main zameen asman ka farq hy. Jin logon ko Allah ka der hota hy wo aisay kamon se dor he rehtay hain jo Rab ko napasand hon. ALLAH ka der rakhnay wala insaan agr kabhi kisi galti ka murtaqib hojata hy ya phir galti kernay k qareeb hota hy tou Allah Tabarak Tallah us insan ko sarzanish kernay k liye usko azmaish main daal deta hy ya phir dil main us baat ko le k shakook o shubhaat paida ker deta hy. Ya youn keh lain k us galti ka ahsas hojata hy.  Laikin aisa isliye hota hy k Allah uski niyaat janta hy. Allah kabhi bhi apnay pyaray bandy ko raah se bhatakney nahi deta. Wo dhaanp leta hy. Ansoo ponch leta hy. Mangtey ko khaali nahi lotata. ALLAH "SE" DARNE wale dawaay to kertay hain k wo dertay hain per phir unper jab shaitaan gaalib ajata hy tou wo insaan aisay tamam kam kerta hy jo Allah nay na kerne ka kaha hy. Duniya ki waqti chakaah'chond uski ankhain khairaah ker deti hain aur wo raah se hat jata

Zindagi...

Maine apnay khayalon main qabr khood rakhi hy. Kafan khareed rakha hy. Bus dafan hona baqi hy. Sansain bohat bhari hain. Dil jazbat se aari hy. Mujhay to moat jesi lagti thi Ye jo zindagi guzari hy. Written by Fehmida Chaudhary 24 April 2020 4:30 a.m

Munfarid...

Zaroori nahi k insaan munfarid bn’nay k chakker may tanha reh jata hy. Kabhi kabhi aisa bhi hota hy k munafiqat se anjaan insaan ko kyon k duniya’daari nahi aati tou wo jo hota hy wohi nazar aata hy. Jo sochta hy wohi zubaan per hota hy. Isi wajah se wo insaan jaald parakh lia jata hy. Aur kyoon k us main koi cheiz bnawaati nahi hoti isiliye us ki aadat o atwaar khuli kitab ki terha hoti hy. Koi b baa’asani sb perh sakta hy, jaan sakta hy. Jab k jin logon k alag alag roop hotay hain aur jo moqay k lihaz se apnay niqab badalty rehtay hain wo hamaisha he HOT CAKE hotay hain kisi b maumlay may apnay apko ajdust kerna unhain khoob ata hy. Jadeed daur k in waqton main jald aur asani se samajh ajane walay log OUT DATED samjhy jatay hain. Aur girgit ki terha rang badalne wale log is daur main IN hain. In aur out ki race main sub he lgy paray hain. Middle kahin aata he nahi. Aur aadha teetar aadha batair he bn k reh gaye hum. Kawa hans ki chal chala to apni bhool gaya. Pata nahi ins

Net Loss...

Zindagi mere liye hamaisha ACCOUNTS k parchay ki terha rahi hy. Jo ginnay chunnay log meri zindagi main thay aur jo mazeed kuch ADD howay. Meri mohabat, khaloos, wafa sub nay TAX ki terha wasool ki AUR maine b kabhi is tax ki aada'e'gi may koo'taahi nahi barti aur na he kisi b qism ki koi EXEMPTION mangi. Magar pata hy kya? Kisi b TAX NETWORK main koi b DEFAULTER ho tou saari CHAIN kharab ho jaati hy. Jis terha PARTNERSHIP AMALGAMATION main dono partners ko ACTIVE rehna parta hy. Bilkul isi terha MOHABAT ka TAX jab exempted howay bagair ada kernay wala insan jb apni zindagi ki BALANCE SHEET bananay bethay aur faraiz k CREDIT COLUMN main laa'taa'daad ENTRIES hotay howay bhi jab wo insan DEBIT COLUMN check kry tou jhoot, dhoka, faraib aur aetibar k khoon k naam pe aik jesi ENTRIES uska muh chira rahi hoti hain. BALANCE SHEET kay END per NET LOSS ki ENTRY uski umar bhar ki mehnat pay paani phair rahi hoti hay. PROFIT ki aas main NET LOSS dekhati ye BALANCE

Insaan...

Kya kabhi apne gaur kia hy k jab aik chalak, munafiq, jhootay, dhokaybaaz insan per koi bhi musibat ya azmaish aati hy to wo is azmaish ko bunyaad bana k waah waila kerta hy aur apni qalti ya kamzoori man'nay k bajaye iski wajah kisi dosray shakhs ko gar'danta hy. Chal'loon aur sazishon k jaal bun'nay walay jab khud in main jakray jatay hain to bohat shor kertay hain. Zulm ki baat to ye hy k jo inki madad ko haath berhatay hain ye unhi ko bahar ane per sbse pehlay nishana banatay hain. Ye wo log hotay hain jinhain kabhi apni galti ya apni zaat main kaami nazr he nahi aati. Her kisi ki tazheek kernay walay khud per tanqeed bardast nhi ker patay. Un k zarf k piyalay may "MAIN" ka kholta dhuwan dosron ko jala to sakta hy per kou faida nhi de sakta. Jab k aik aq'qil , zaheen aur kamil insaan apni azmaish main sabr, achay waqton main shukr aur galti ki nishaan'daahi per un tamam kamiyon ko koshish ker k pur kernay ki aur khamiyon ko dor kernay ki koshish

Mohabat kamai jati hy azmai nhi jati.

Main akser kai jagah mohabat k baray main bari taweel definitions perhti hun tou hans perti hun. Ab mohabat kya hy jesa unwaan perh k logon k demagh main ishq mashooqi walay heer ranjhay ka tasawer he ayega. Magar nhi mohabat kisi b rishtay main ho sakti hy. Maa ki mohabat apny bachon k liye. Baap ki mohabat. Aulad ki maa baap k liye mohabat. Behen ki bhai k liye aur bhai ki behen k liye mohabat. Ya behen ki behen k liye mohabat. Mian biwi ki apaas ki mohabat. Mukhtasrun rishtay bohat hain. Mohabat ka koi aik thaikay’daar nahi aur na he mohabat kisi aik rishtay ki milkiyaat hoti hy. Mere nazdeek mohabat jataa ker, baata ker, kisi pai’many se toli nahi jati. Mere nazdeek mohabat ki tafseer baray baray alfazon main kernay walay log, hazar haa daway kernay walay aur mohabat may paimaish kernay walay log, jesay agr koi dawa kry k chand taray paish kerdon jese alfaz jo sara sir laagu aur fazool daway hain. Mujhy is terha k log jo mohabat ko tarazu main toltay hain wo kabhi bhi mukhli

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun. 

Keeray ...

Bohat bura hona bhi aik terha se bohat acha hota hy. Mujhy to aisa he lagta hy. Jab aap bohat buray hotay hain, ya youn samajh lain k log hmain bar baar ye baa’wer krwain k burai hum main he hy to hum kisi aur main keeray nikalne k bajaye apni zaat k keeron ki fumigation main lag jatay hain. Per kuch logon ko ye shikayat ho jati hy k dawa naak main cherh gai . Matlab wo khush nhi hotay kisi b terha. Ab main bolongi to sb kahain gay k main bolti hun.... Keeray agr meri zaat main hotay to fumigation se unhain problem hoti Na k jisko shikayat thi mjhse Ap he btain keeray mjh me thy k shikayat kernay walay k demagh main ??? Baat to sach hy magar bat hy ruswai ki :):-)