Skip to main content

Posts

Showing posts from 2011

Ankhon se khawab kaisay bujhtay hain...???

Khushyon ko nazar kaisay khati hay...??? Umeed, Na-Umeedi main kab badalti hay...??? Taron jaisi jhilmil jhilmil kerti Diye ki terha loo daiti Ankhon se khawab kaisay bujhtay hain...??? Chehron per phaili shafaq per Khizan kaise apna waar kerti hay...??? Zindagi k guzray lamhon per jab kabhi bhi beth ker socha ye he nateeja dekhnay ko mila k main tasbeeh k bikhray danon ko aik aik ker k wapis proote gai kabhi kaisay ..kabhi kaisay....apni ana khud dari ko aik taraf rukh ker k in ka mohabat aur rishton k darmiyan kia laina daina.... per main galat thi....khud ko fana ker dala per hath phir bhi khalil........sub apnay apnay matlab k liye saath saath chaltay hain aur jab tak chaltay hain jab tak hum un k kisi kam k hotay hain wagarna unhain hamari zaat k honay na honay say koi farq nahi perta...Hum jin ki her bat sirf saath na choat janay k dar se bardash kertay hain seh jatay hain wo he hamain sub se pehlay chore jatay hain.... Mera aetibar raha he nahi kisi per bhi... Mujhay khauf ata h

Waqt guzarta nahi...........

Log kehtay hain waqt taizi se guzar raha hay..per mujhay tou lagta hay waqt teher sa gaya hay....pata nahi ye waqt jo duniya main guzarna hay..............kaisay guzray ga....kis terha guzray ga...Kab guzray ga...? Zindagi munjamid nahi howi......jazbay aur ahsasat bhi freeze se ho ker reh gai hain.........apnay honay na honay ka ahsas kernay k liye bhi khud ko aziat day ker check kerna parta hay k is jism main jaan hay bhi k nahi.......... Zeher pee ker k apnay qatilon ko chalta phirta dekhna ........ mauf kerdaina .........zindagi ki sub se bari galti thi........Sabr aur bardast zalim k saath ikhtiar kerna bhi ik jurm he hay.......... Zindagi main koi kabhi nahi badalta........fitrat wohi rehti hay jo hoti hay insan ki.... Fitrat nahi badal sakti............Allah bhi jab tak hiddayat na day aisay log sanwar bhi nahi saktay........ Zindagi k qeemti saal........... apna hissab kis say mango..... un se jo rahay nahi .........aur kuch ker k na gaye....... ya un se .......jin ko meray hon

Darbadari se darte hain............

Darbadari se he dar lagta hay aur jilawatni ki saza ka ilan roz ker dia jata hay....Thikana kahan hay? Agar sabr bardash ka ye inam hay tou ..........meray Malik aisa na ker.....na ker aisa....Teri Khudai se yaqeen uth na jaye......kitnay din aur..........?? Mujhay Mitti main pannah day de ..........beshak qabr he thikana ker day......darbadari se bacha lay.....mujhe der lagta hay......mujhay bohat der lagta hay......Meri sansain us zaroorat mand ko day de jisay iski zaroorat ho.........magr ab aur nahi.............

Banjer Zameen.....

Insan jis cheiz ko jitni shidat say chahta hay...Us k baray may utni he shidat say adam tahafuz ka shikar ho jata hay... Us shaks ya cheiz k chi'in janay k khauf k but't ko na tou wo masma'r ker pata hay na he usay apnay hamqadam chalnay k liye , us k pair'on may zanjeer dal sakta hay.... Mohabat main paa laina he tou sub kuch nahi hota... Apnay hissay ka kam kiye jaye insan bas.... umeed rakhay he kyoon koi.... k ye tajarat tou hay he nahi.... Ik anhoni si baat is main ye hay k Jab milain gay he nahi tou Juda kia hongay....Jab k hijr ka amal shuru he jab hota hay jab visal ki baat ho.... Kabhi juda na honay wali bat visal k zumray main ati hay... Kabhi na milain gay wali bat Hijr k zumray main ati hay.... Insan musalsal aziat may he rehta hay.... k us k dil per hijr ya visal may say konsa pather pernay wala hay.... Kehte hain k ishq samander gehra gehra phir bhi log isay parr kernay k liye koshan nazar atay hain.... duniya tiyag detay hain... devaron main chunwa diye

Zindagi Chahti kia hay.....???

Chahti kia hay? Jan lon main bhi.... ZINDAGI ko sawal kerne do... Is duniya main bohat say log bura naseeb aur muqadar lay ker paida hotay hain...Dukh, Kharabi aur nakami ka aur unka choli daman ka saath hota hay... Meri qismat bhi aisi he thi...Zakhm he zakhm , Kantay he kantay.... Main phool ko bhi hath lagati hon tou wo bhi angaray sabit hotay hain.... Asman say barasti barishain sub dekhtay hain aur Ankhon se barasti barish kon dekhta hay....??? Barish'ain cha't pe khuli jag'hon pe hoti hain magar.... Ghum wo sawan hay jo in kamron k andar barsay.... Zindagi k dai'yar main qismat nay qadmon main gardab aur masaib k anbar bakhshay hain ...her gam pe aik nai mushkil , aik nai musibat , aik naya hangama muntazir hota hay....Kabhi kabhi youn lagta hay k jaisay ye masaib .....ye musibatain.... ye hangamay meray he HAM'RAKAB hon .... Ye pur-ashoob dor main koi nahi jo kisi k dil may jhank k dekhay.....Jab zindagi he wabal ban jaye tou insan sisak sisak k zindagi guzar

Qabristan...........

Dil pe cho'at hay ankhon main soaz hay Koi jiye kaisay ? Sansoon pe bojh hay? Kis ko sunain apni duain, Chehra morr k Palkain orrh k..... Main nay apnay dil k ander aik qabristan banaya howa hay..jis may latadad choti choti qabrain hain .... khawahishon ki, hasraton ki, shikwon shikayaton ki,, arzoo'on ki ...per ye sub batain un logon say juri hain jo meray apnay thay...kisi dunyawi sheh ka is may koi laina daina nahi... Main samajhti thi...hamari qurbaniyan, hamara pyar, hamari farmabardari, hamara khaloos hamaray apno ko jeetne k liye kafi hota hay.... per nahi ..........pta nahi ajeeb duniya hay ye ...yahan jo apna tan man dhun sub luta daitay hain apnay pyaron ki khushi k liye wo he masloob hotay hain umr bhar .....Aur wo log jo kuch nahi kerte sirf aik jumla mohabat ka bol ker ap per sabqat lay jatay hain...ye kaisa insaf hay logon ka.... Duniya ki is bheer main insan koi tou hoga.... Jo sun lo dil ki cheekh'ain, Kan koi tou hoga... Is materialistic dor may wohi survi

Hawa ki betiyan....

Hain sarbasta agr che raaz meray Sitaray hain magar ghamaz meray Hawa ki betiyan aik insan ki hasiyat se zindagi ki kisi bhi khushi ki utni he mustahiq hain jitna k koi mard...Zindagi k safar main kamyabiyon ki tamanai wo bhi utni he hoti hay ...jitna k koi mard..... Zindagi main is zalim duniya main hawa ki beti ka ye haq tasleem kia he nahi jata...aur mardon k is maushray main kahin kam aur kahin ziada hawa ki beti ko us k her haq say mahroom ker k mard nay apni zalimana soch ka ghulam bana lia hay....Aur us ghulami se inkar pe aurat ko moat tak ki saaza bhi suna di jati hay.... Mardon k is maushray main SUBHA ka bhool sham ko ajaye tou usay bhoola nahi kehtay....kai jaga perha ye sub...per muddat aur tadad nahi batai gai kahin bhi .... kyoon k wo is jangle k qanoon ka badshah bhi hay aur shair bhi.....usko farq nahi perta ... Sab uski nazar ka kamal hay... mitti ko sona samjhay tou SONA ban jati hay.... Sonay ko mitti janay tou Sona mitti ban jata hay... usko bewafai jaiz hay.... ba

Virani ka raasta....

Khud main apna dukha raha hon DIL Us main laikin Khushi usi ki hay Jab ap k kisi bhi amal se dosron ki ankhon k jugnu bujh jain aur in ankhon main khushyon ki ramak k bajaye viraniyon ka baseera ho jaye tou ye jaan lijiye k us ki viran aur be noor ankhon se ap k dil ki virani ka raasta shuru hota hay....

Ikhlaq ka ma'yar...

Her shaks bana laita hay Ikhlaq ka mayar Apnay liye kuch aur, Zamanay k liye aur Main un logon se bhi pyar kerti hon jo mujh se nafrat karain....is liye nahi k un main aisi batain hain k wo pyar k like hain....balkay is liye k main hamaisha say he koi kam copy nahi kerti ... Nafrat ka jawab mohabat say.... gussay ka jawab khamosh ho ker...aur jo zaleel kernay ki koshish karay usko Izzat day ker.... k is say barh ker main kuch ker bhi nahi sakti .... Insano k is gaul main mujhay shamil hona bhi nahi hay... jo dosron per ungliyan uthain ... jo kisi k kuch aeb pakar ker unki chand achaiyon ko bhi neglect ker dain... Nadaan log hain ... Koi kia jannay ALLAH nay jagah jagah kyoon kaha ye sub k .... kisi ko us k kiye gai baray gunnah say na pehchano k kia pata k uski kisi choti c dil say ki gai naiki ko ALLAH qabool ker k usay wo mukam day de jo tumhain hasil na ho sakay.... Allah Ho..........kerne se Allah ka qurb nahi milta....choti choti batain to adopt ker lain hum... baqi to manzil abhi

Jaan se pyare Log...

Duniya main baaz log aisay bhi hotay hain jo hamain jaan se berh ker pyare hotay hain...Jinko hum udas nahi dekh saktay...Unki bechaini hamain bechain ker daiti hay...Unki ankh ka tapka ansoo hamaray dil per girta hay...Dor honay k bawajood uski udasi ka ahsas hamaray dil ko cheer dalata hay... Uska udas chehra hamain udas ker jata hay... Ye pyar hamain us k zahiri wajood se nahi hota....uski rooh ki pakeezgi se hota hay... Dilon ki achai rooh ki achai ban ker jo khushoo daiti hay wo her khusboo say aala hoti hay...aur apki rooh ki ye achai apki zaat ka aik icon ban ker logon k dilon main ap k liye pyar ki fasal uga jati hay.... Afsoos is baat ka hota hay k hum ye baat bata nahi pate...Per jazboon ki sachai ko alfaz ki kia zaroorat ...Ye tou wo khushboo hay jo bin kahay urr ker hamari batain us pyare ko kan main chupkay say sub kuch bata ati hay... Pata nahi magar..... Koi jawab kyoon nahi lati....???

Alfaz nahi milte.................

Log kehte hain mujhay khobsurat mehsoosat ko qalamband karnay ka hunr ata hay... Magar aisa kyoon hay k jab main.... Bohat kuch kehna chahte hon...... Share kerna chahti hon...... Apni feelings ko mujhay batana kyoon nahi ata.... Lagta hay lafzon ka zakheera khatum hogaya.... Pata nahi aisa kyoon hay... I wish i can share .......

Mout bohat zaroori hay.....

Zinda rehnay ko sans laina zaroori hay Sans lainay ko khuli hawa zaroori hay Khuli fiza k liye haray bharay darukht zaroori hay Haryali k liye un darukhton ki aabyari zaroori hay Aabyari k sath sath in sub cheizon ki dekh bhal bohat zaroori hay Per in sub se zaroori aik aur cheiz hay Jo rooh ki dukhun ko kam kerti hay... Jo sub runj o ghum bhula daita hay.... Jo her fikr say azad ker daiti hay... Zindagi k tamam maslon ka hul.... Mout.... Mout bhi zaroori hay.... Mout... Bohat zaroori hay......

Zindagi k Paa'taal main Rooh ka safar.....

Meri zindagi ka safar jari hay...Mujhay na tou WALI banna hay ...Ne he sufi...Na he kisi wali ullah k maazar ka majawar....Apni rooh ko sanwarnay k is safar mae main nay latajad zakhm khai aur kai bar thak haar k hanpnay bhi lagi ...Kai bar thokar khai ... Giri bhi aur gir k phir uth khari bhi howi...Kabhi himmat haar gai tou kabhi fateh alam ki si soch rakhi....Kabhi roo k ....Kabhi hans k ...Kabhi tanhai main aur kabhi yadon ki mehfilain saja ker khud ko masroof rakha... Mujhay nahi maloom k zindagi k atishdan ki bhati main tap ker main kundan ban paey k nahi...Na he ye maloom hay mujhay k main kamyab hon k nakam hon...Magar...Mujhay khushi hay Rooh ko sanwarnay k is safar mae Main nay bohat kuch seekha...Main us daur say bohat agay nikal aye hon jahan logon se umeedain durd deti hain...Hum is durd se tarapte rehte hain...Zindagi se mayoos hote hain...Aur shikway shikayat kerte hain...Mera safar jaari hay...

Meri dua hay.........

Ajj meri dua hay k meray haq main jis jis nay jo badduain ki hain.......ALLAH unhain qabool farmaye.... Zindagi main kabhi bhi koi sukh ka sans naseeb na ho.... Moat aye to rooh nikalnay main utni he aziat ho jitni meray haq main baddua kernay walay chahtay hain.... Meri dua hay k ALLAH unki dil ki muradain pori karay ....wo jaisa chahte hain meray saath waisa he ho..... Apnay Habeeb k sadqay wo meri duain kabool farmaye AMEEN SUM AMEEN..... aur main kari say kari saaza paon.....aur aisa kuch ho meray saath k un subki rooh ko aik he bar qarar hasil ho jaye.........un k saray badlay aik he nishist main poray ho jain ameen.........is say ziada main kisi k liye kuch ker bhi nahi sakti..........thats it.........

Alfaz k nishtar .....

Ajj kuch anookha nahi howa........hamaisha aisa he hota aya hay....jab kabhi main depression main howi hon ird gird k logon ko pehlay say bata dainay k bawajood ....wo apnay hissay k alfaz k nishter meray seenay main zaroor utartay hain k kisi rozan say koi sakoon ki hawa meray wajood main dakhil na ho jaye........ Bohat bhari tha ajj ka din.... Bohat shukriya ahsas na kernay ka.... Bohat shukriya her bat k liye....... Alfaz ki gandagi uchalnay ka ......

Khuddaariyon ka Khoon....

Khuddaariyo.n ke Khuun ko arzaa.N na kar sake ham apane jauharo.n ko numaayaa.N na kar sake hokar Kharaab-e-may tere Gam to bhulaa diye lekin Gam-e-hayaat kaa daramaa.N na kar sake TuuTaa talism-e-ahad-e-mohabbat kuchh is tarah phir aarazuu kii shamaa furezaa.N na kar sake har shay qariib aake kashish apanii kho ga_ii vo bhii ilaaj-e-shauq-e-gurezaa.N na kar sake kis darjaa dil-shikan the mohabbat ke haadase ham zindagii me.n phir ko_ii aramaa.N na kar sake maayuusiiyo.n ne chhiin liye dil ke val-vale vo bhii nishaat-e-ruuh kaa saamaa.N na kar sake Bohat log milte hain duniya main jo dawa kerte hain humse mohabat ka ....ahtaram ka...izzat kerne ka...kabhi khooni rishte ka sahara lay ker...kabhi dosti ka sahara lay ker...Kabhi kuch tou kabhi kuch...Karobar he bana k rukh dia hay jazbon ka .... sachai ka...wafa ka...khoon k nam per dekhaway k pyar ka....Jab k sub fareeb hay... Mujhse ziada ye bat koi nahi jan sakta k apna apna matlab anay per log jhuk bhi jate hain...galti bhi tasleem ke

Akhri keel........

Ajj palkon ki barh per kitni he dafa ansoon ka sailab umund anay ko tayar betha tha ...per kis terha roka isko main nay...hansi k parday main dil k durd ko daba ker kis terha chupaya main nay...mujhay maloom hay...sirf mujhay maloom hay...Per pora din jo guzra so guzra ......raat kat'ti nahi...aik aik lamha ... aik aik yaad dil ko cheer dainay ko tayar khari hay... kab tak rok paon ge....khud ko totnay say....bikharnay say... Magar yaqeen rakho...tum log...tumhari is khushi k moqay per dil say duaon hain meri.....koi gillah nahi...ik khalish si hay... mera qasoor ??? kia tha mera qasoor...? Aisa kia ker dia main nay...? kabhi jawab ban pai tou zaroor batana... Wahwailay machana nahi ata mujhay...durd mushtahir kerna nahi ata mujhay...gillah kerna nahi ata mujhay... Haan magar .........itna yaqeen hay mujhay k sirf aur sirf meri ik chup wo kam ker sakti hay jo tum sub k shikway gillay bol bol ker nahi ker saktay... Meri is chup main mera durd chupa hay...jo ik na aik din tum sub k m

Band Kitab........

Main ik phool hon, wo mujhko rukh k bhool gaya Tamam Umr meri , Ik Kitab main guzri... Baaz log jinhain apni khamiyon aur kamzori ka achi terha say pata hota hay... magar wo in khamiyon aur kamzoriyon ko dor kernay k bajaye.... apni khaa'ft mitanay k liye dosron ki achai ko burai k pairai main uchal ker us achay shaks ki achai ko takta e mashq bana laitay hain....Ye bat bhool ker k unhain unki zaat ki gehri andhairi gaah'ur say nikalnay wala bhi wohi shaks hay jis ko wo nishana bananay chalay hain.... Duniya main aik cheiz jis ne bara ranjeeda kia dil ko ...wo log jo kuch nahi kertay wo sirf aur sirf dosron per tanqeed kerte hain.... Asal main wo dosron ko bol bol ker apnay ander ka khauf bahar nikaltay hian aur ye asal main un k dil ka chore hota hay jo bilawajah he shor machai chala jata hay.... Pata nahi lakh chaha magar kuch tabdilian jo apnay main lana chahen duniya k lihaz say.....wo lakh koshish k bawajood aa he nahi pai fitrat main....Pata nahi kyoon mujhse bari bari b

Andhaira berhta he Aur Mera Dil Ghat'ta hay...

Sardiyon ki shamon main jaisay jaisay sham se he andhaira berhta jata hay ....mera dil ghat'ta jata hay.... mujhay andhairay aur khamoshiyon se shuru se he wehshat si hoti hay.... dum ghut'ta mehsoos hota hay...per ye kaisa insaf hay ae meray Malik k jo insan jis bat say derta hay ...bachta hay tou wohi sub uska muqadar bana daita hay.... aur phir uski bebasi ka tamasha ban k reh jata hay.... Apni zaat main sabr o kana'at ki gantain (knots) laga tou li main nay per jab unko kholna chaha tou wo itni mazboot ho chuki thin k unko khola nahi ja sakta tha..... Apnay ap say lartay ... batain kerte ab thakan si honay lagi hay... k khud apnay wajood say aik bair sa mehsoos honay laga hay...Na janay aisa kyoon ho raha hay..... Apnay ap say bhi khauf anay laga hay.... Main kitna badal gai hon..... k baz dafa khud ko bhi pehchan nahi pati.....Rooh itni pyasi ho gai hay k sairab ho k he nahi deti.... Aik Aik baat khoon rulati hay... Is say acha tou ye tha Ae meray RAB k tera nam lay la

Kash...

Mujhay jo mangna ho RAB say mang laiti hon....day day to bhi sahi na day tou bhi sahi...per kash nahi lagaya kabhi...Kash tou jab lagae koi jab uski zaat se mayoosi ho jaye...per main us say mayoos nahi.....logon say hon...isliye KASH koi aik tou aisa ho jo meray marnay per dil say roye...Mujhay apni moat per hajoom nahi chaheye sirf aik purkhuloos insan jo dil say roye meri moat per........bas shayad isi terha meri rooh ko qarar aye..... meray kash ki had is bat say shuru ho ker isi per khatum hay...KIA bohat ziada manga main nay kisi say...jo wo day na paey.......

Saaza milna muqadar hay....

Apni hasti k khaul say bahar nikalnay ki kuch saza to milti hay... Durd mushtahir ker dia jaye tou dawa tou nahi milti....aik durd e lazawal zaroor milta hay....ati jati sans k saath ye ahsas dilata hay k tujhse apnay durd ki hifazat na ho sakti...ye teri nakami ka jeeta jagta saboot hay...Magar nakami tou unhain dukh daiti hay jo kamyabiyon ki umeedain laga k beth jain...jo khud ko zindagi k agay surrender ker chukay ho un k liye kamyabi ya nakami koi maa'nay nahi rakhti... Dil tou hay dil behal he jata hay...kabhi udasi ka sahara lay ker ....kabhi masnoe hansi ki aar lay ker....waqt kab kahan aur kis k liye rukhta hay...ye to bas chalay he jata hay...Akhir main jab zindagi k kashkool say yaadon k sikkay ginnay betho to pata chalta hay...sub k sub he khotay hain...Aur khotay sikkon ki qadr o qeemat hoti he kahan hay...Jagmagatay sikkon ki chaka chond k agay in khotay sikkon ki kia auqat... Meri zaat bhi usi khotay sikkay ki manind hay... jisko jagmaganay ki aarzo na sahi...Apnay h

Eid phir aye hay......

Aik taraf..... Dil k madham perhtay zakhm phir haray honay lagay.... Zindagi k khunn'der may phir durd pathjhar k mausam ki terha aan khara howa hay Armanon k sookhay patton nay dil ki nagri ko phir tehes nehs ker dala hay..... Aur dosri taraf.... Her chehray per khushi k phool khilay hain..... Bahar k say mausam ki terha pata pata bota bota jagmaga utha hay.... Behisab khushon k chiragh jal uthay hain.... Aik he duniya main ye kaisa tazaad hay..... Sochtay sochtay her soch he munjamind hay .... Zehan main sain sain kerti awazon k siwa kuch aur ata he nahi.... Haa'waas bakhta howay jatay hain..... Suna hay..... Ajjj.......... EID PHIR AYE HAY........ EID PHIR AYE HAY........

Main pagli he thi na.....?

Mujhay talash thi duniya main kisi aik aisay insan ki jo meri tarah ho...jo mujhay samjhay...bin kahay dil ki bat samajh jaye....main kab udas hon...kab khush hon...usko sub kuch pata ho....per afsoos rishta koi bhi ho...her aik nay apnay tore per meri saadgi meray khaloos ka sirf istimal he kia...aur kuch nahi...Sub kuch samajhtay howay bhi na samajh ban ker sub sehnay k bawajood bhi meray hath kuch nahi aya.........Her shaks apnay mafad ki had tak sath chala ... aur bas... Itni zehrili fiza hay k dam ghut'ta hay...Sansain azar deti hain.... Neendon se tou na janay kab say bair banda hay in palkon nay....... anay he nahi deti ............kuch pal ko tou in jan laiwa khayalon say jaan chotay.....Koi lamha tou ho jo is karb say nijat hasil ho..... Kab tak hansi k jhootay nikab pehan ker khud ko fareeb daina hoga.......kab tak... Behiss logon ko apni hassas sochon per zehrilay teer barsatay bardash karna hoga.... Kahan mile ga aaman .......... Kab miley ga...... Meri soch k..... waqt

Panchwan mausam.....Udasi ka mausam

Sochon ka aik sailab meray zehan main mojazan hay.....bahay chala jata hay .... rukta he nahi...Khud apnay ap say sawal kerna aur khud he jawab daina......kabhi khud he rona aur rotay rotay hans perna....kabhi sochna he sochna aur kabhi bolte he jana..........chup na hona.......... Ik bekaran samandar hay ankhon k ander ...jo behne ko beqarar hay.........umdaa chala ata hay..... k kuch tou dil ka gubar niklay.............kuch tou dil k ufaq per chaaey udasi ki dabeez tehh ko hata day aur ik chamakti subha ka payam lay ker aye............ Ab kisi mausam ki pehchan he baqi nahi rahi... Kia khizan .....? Kia bahaar......? Kia pattjhar....? Kia sawan........? Dil main tou bas ik he mausam aker mehman ho gaya hay.........Panchwan mausam........Udasi ka mausam.............

Meri tehreerain........

Meri tehreerain tum logon ko dukh daiti hain............... is sadi ka sub say bara mazak............. Aur meray ansoo......... Mera durd............. Uska kia.......... In alfazon ka sahara na hota mujhay tou shayad ajj main zinda bhi na hoti........ Zindagi k atishdan main sokhi lakri ki terha jal ker bhasam ho gai hoti main........ Meray hath khali hain............ Per in alfaz ki jageer nay mera bara maan rakha hay.............shehzadiyon ki terha rehti hon main yahan...............apni saltanat main................... Yahan sirf aur sirf mera hukam chalta hay..... Yahan meray dil ki adalat nay her khas o aam ko aam maufi day rakhi hay.......... Na koi gillah hay..... Na koi umeed hay.... K umeedain jeenay ki umang paida kerti hain..... Aur main jeena nahi chahti........ Mera khoon tou us din he hogaya jis din tum sub k khoon ka rang safaid howa........ Ab dil dukhta bhi hay tou ..... chand lamhon k liye......... Ye sabr atay atay aya hay...... Main isay khona nahi chhati........ p

Koi Umeed mat rakhna...........

Mera durd perh nahi saktay........... Mera ghum bant nahi saktay........ Aur dawa hay khooni rishton ka....... Baray ajab log hain ye ......... jab rotay hain tou koi pochta he nahi k rotay kyoon ho... durd sehtay kyoon ho..... tanha rehtay kyoon ho......Hum hain na tumharay............Ahhh.....per us waqt kisi ko ahsas nahi hota..... kon kitna tanha hay ........ kis takleef main hay...... na he duniya ki perwa Aur jab kisi khushi k milnay ki arzo ker lo tou duniya ki perwa ho jati hay saron ko........logon say darate hain......... Zindagi tou aik bar he mili hay..........subko.........main kyoon ganwa don apnay hisay ki khushon ko... per shayad apnay armano ka khoon pila pila k main nay he apnay haq main bura kia.... per us waqt asli chehray dekhay ki kab thay.......... wo naqab utray he kab thay......... Ajj sawal uthanay walon.... aik meray sawal ka jawab bhi do......... us waqt kahan thay tum sub......jab mujhe zaroorat thi.......... Ab kisi qurbani k ghat nahi charhna mujhay... Mu

Kia khoya hay...Kia paya hay....

Zindagi k laq o daq sehra may.... Jism o jan k veeran khander main Dil ki banjar zameen Paon may chaahlay Abla pai ka safar Rooh per lagay beshumar zakhm.... Pathrai howi ankhon may tehray howay munjamind khawab... Jazbat ki sard barf ki si jami sil Khawab raiza raiza Tamana khoon khoon... Saath chalnay ki aarzoo.. Aur hay Benishan manzil phir bhi sochi tou main Hath meray kia aya hay..... Tera saath nahi paya... Aur chain bhi gawaya hay.... Pyar ki raah main Itna kuch tou paya hay.. Yehi sub mera SARMAYA hay... Kis se ja ker pochon main.....................??? Is taweel musafat main kia khoya hay....kia paya hay....???

Mystery of life....

Ye shart hay dastak ho agar dust e yaqee'n say Der chore k devar bhi khul jaye kahin say Lagta hay k sach much kahin mojood hay duniya Hum waham bhi kertay hain tou kertay hain yaqee'n say Zindagi may kabhi kabhi insan apne aap ko ik moti ki manind seep main qaid ker laita hay k koi bhi is k dil ki baat, iska dukh durd , us k mehsoosat na jaan sakay k wo nahi chahta k uski sochon ki rajdahani main koi shareeq ho... Phir aik waqt aisa ata hay k ik makhsoos dastak k israr per ap derwazay k kawaar khool detay ho per shayad aisa ker k aap apnay liye aik nai aziat ka der khool daitay ho...aur wo jo kabhi aik sakoon ka ik lamha muyasar ata tha wo bhi kho daitay ho....kyoon k darwazay ko choo ker guzarnay wali hawa bhi apko hirasaan sa ker daiti hay... Kahin perha tha k apnay aap ko aam ker dainay walay log bohat jald faramosh ker diye jatay hain.....Ik sachai hay ye bhi.... Asaani si milnay wali chiez ki hamaray yahan qader hoti he nahi hay...isi insani fitrat ki badolat kabhi kabhi

Khud ko apna he aasra na raha........

Ajj demagh aisay munjamind sa hay k lagta hay k tamam hissyat baraf ban gai hain... koi mausam koi khushboo koi ahsaas is baraf ko pighla he nahi pa raha.... Khud ko khud ka aasra bhi na raha........aisay waqt ka kabhi socha he na tha.. Zindagi k sehra may ja baja andhiyon nay .... Waqt k berehem shikanjon ki kharashon nay... Pay der pay zakhom nay... Dard k jazeeron nay ... mera kuch na bigara..... Aur mohabat ki waqfay waqfay say barasti bondhon nay meri rooh may jo shigaff dal diye hain ..wo bhar nahi parahay... Meri zaat ka akailapan ab khokhalay pan may tabdeel hota jaraha hay.....mujhay andaza nahi.... meri rooh kidhar hai aur main kidhar...... Manzil ki talash main main bhatak rahi hon........kabhi idher kabhi udhar ........na rehbar ka pata ....na masiha k nam tak ka pata ..........k kis nam say pukaro ........jab usko pukarna ho.......kahan dhondon jab usay talashna ho............kahan dhondhon...........kidhar jaon..........

Rait k gharonday girata chala gaya...

Maa aik aisi hasti jo bachpan say apni aulad ki tarbiat kerti ati hay...Hamari society may larkiyon per ziada tawajoo di jati hay...balkay youn kaha jaye k ziada tawajoo di jati THI tou ziada behtar hoga....ajj kal tou maa'ain bhi TIT FOR TAT wali tarbiat deti hain bajay is bat ko samjhanay k k sabr aur bardash may he aurat ki azmat hay...aisa nahi hay k is bardash k chakkar may apnay apko he aurat fanna ker dalay magar ALLAH nay ye husn aurat ki fitrat may he rukha hay k wo sabr aur bardast say kam lay...had say tajawuz to kisi bhi maumlay may behtar nahi rehta..aisa he is case may he hona chaheye... Bachpan ik bat aksar yaad ati hay...hum bachpan may mitti k gharonday bana ker khailtay hain...kabhi unhain bhai shararat may dha daitay hain ya kabhi koi dost shararat may aker gira jata hay wo mitti ka gharonda...maa say shikayat kernay per ye he sunnay ko milta hay k dobara bana lo...koi bat nahi.... Per ye bat aksar meray dil may ...meray zehan may gardish kerti hay k mitti k ghar

Moam ki GURIYA ...

Jab main baat bay baat...bilawajah he kehkahay lagati hon...muskurati hon... tou in din'on mujhay khud he...khud say bohat der lagnay lagta hay... Ye kehkahon k jhakkar bilawajah nahi chaltay...meray ander kahin Tofan ki aahat ka pata detay hain...Aur mujhay in tofano'on ko apni taraf berhta dekh ker zindagi say mazeed wehshat si honay lagti hay... In waqt be-waqt anay walay TORNIDOS nay meri zaat may jo khalah aur jo darar'ain dali hain ...wo bharnay ki koshish may main nay apnay app ko bhi mitta dala hay...Magar...Ye khalah hain k bharnay may he nahi atay.... balkay in may izafa he hota jaraha hay... Moam ki guriya dekhnay wali .....agar...aahoney foladi aasab na rakhti tou kab ka pighal ker zindagi k tofan may beh gai hoti... Kehnay ko sinf e nazuk hay aur hosla chatan'on ka Samajna na kabhi bint e hawa ko tum MOAM KI GURIYA Just....toti photi be ant sochain ..... By Fehmida Ishtiaq.....

Rishton k laagan (tax)...

Bachpan say burhapay tak hum mukhtalif nauyat k rishton say juray hotay hain... kyon k her insan ki soch..behaviour ... shakal adat aur atwar dosray say mukhtalif hotay hian isliye un may zehni hamangi nahi pai ja sakti... Dekha jaye tou her insan dosray ko sirf us waqt tak samajhta hay jab tak wo khud usko samajhna chahay....warna wo lakh ap k sir patukhnay per ...ap ki minatain kernay per apki bat ko samajhnay k liye tayar hona he nahi hota...aur dawa hota hay apko samajhnay ka ...per kehnay aur kernay may hamaisha he farq hota hay..insan to insan he hay na.. Zindagi ki dagar per chalna itna asan nahi jitna asan lagta hay...apnay apnay zaati mafadat k liye log humse mohabaton k dhong rachatay hain aur jab tak un ki mafadad hamari zaat say wabasta hotay hain wo hamaray sath hotay hain aur jab unhain hum may apna koi faida nazar nahi ata wo chornay may dair nahi lagatay.... Ap k purkhuloos honay ko log apki kam himmati aur kamzori samjhain to dukh hota hay.... Ap k darguzar kernay ko l

TU nay to chore dia mujhko TAMASHA ker k .....

Kehtay hain k mohabat wo jazba hay jisko sirf mehsoos kia ja sakta hay isay alfaz may samjhana ya bayan ker taqreeban namumkin he hay...Iski paimaish ka koi aala (meter) nahi jis say is ki paimaish ki ja sakay..ye hay to hay...nahi hay to nahi hay... Kehtay hain mohabat insan ko apnay mehboob k baray may possessive bana daiti hay...k usko koi dosra na dekhay...yahan tak k jo hawa choo ker guzar jaye us say bhi gillah ho jata hay chahnay walay ko....per shayad ye sab kitabi batain hain jinka haqeeqi zindagi say laina daina hota he nahi... Mehboob koi showcase may rakha howa decoration piece nahi hota k jiski numaish ker k apnay intikhab ki daad wasool ki jaye logon say.. Per kehtay hain na k jaisay dekhnay may adaton may log aik dosray say mukhtalif hotay hain waisay he sochain bhi aik dosray say match nahi kerti... Mohabbat Me Dil Ka Tamasha Dekha Nahi Jaata Koi Tuta Hua Sheesha Joda Nahi Jaata Lutade Apni Saari Khushiya Usper Rootha Hua Chehra Uska Mujhse Dekha Nahi Jaata

Soch k zaviye ka aik he rukh hay....

Meri soch k zaviye kuch bhi hon...haqeeqat sirf aik he hay...meri soch is haqeeqat ko kabhi nahi badal sakti...kabhi bhi nahi... Ye maushra mardon ka hay... aik mard dosray ko protect kerta hay... kyoon k sub ki soch aik he hay... sub he apni badshahat ko aurat k khoon ki balli cherhatay hain... Ye khooni log Allah k asoolon say munharif ho ker apnay alag he asool wazah kiye howay hain aur khud ko phir bhi right way per kehtay hain....kyoon k unhain ALLAH nay strong banaya hay... Meri soch k saray zaviye aur taziye thannday hain ab..... Bhala kon zamanay k asoolon say bagawat kerta hay... Maan behlanay ko bas batain kerni ani chaheye... jo ye seekh lay wo kamyab hay....

Aik TRASH BIN ki kahani...uski apni zubani...

Mujhay apnay taraf may is say ziada kuch nahi kehna k .... Jis nay mujhay dhutkara main nay kabhi uski chokat nahi chori k meray baad uska kia hoga... Usnay phir bhi meri wuqat na jani... Us nay meri gunjaish say ziada kachra dal dia ....Main ubal para... Phir aik meherban mila jis nay mujhay pyar say rakha ... jab dil chaha pyar say galay lagaya aur jab dil chaha daman churaya... Mujhay tazheek mehsoos howi apni bohat ziada .... itni k main ye bhool gaya k main trash bin hon... aur meri wuqat us koray jaisi he hay jo mujh may dala jata hay... be wuqat be maya trash bin...

Duniyawi saharay V/S ALLAH

Ajj Javed Chaudhary ki "Zero Point" say aik iktibas mujhay bohat acha laga....bohat he khobsurati say unhon nay aik haqeeqat ko bayan kia hay....Jo kuch is terha say hay.... ".Bachpan ki mehroomiyan, bachpan ki ziad'tiyan, bachpan ki mar'ain. aur bachpan k samjhotay, hamari zaat may khaalah ban jatay hain..jo waqt guzarnay k saath saath baray hotay jatay hain...hum kabhi isko kitabon say bharnay ki koshih kertay hain, kabhi aurton say, kabhi raag'on say, kabhi tasveeron say, aur kabhi shair'on say, kabhi dolat , shohrat aur taluq e aama say ...LAIKIN YE KHAALAH KABHI NAHI BHARTAY". Zindagi may kisi shae k kho janay ka gham tou phir bhi insan bardash ker he laita hay magar bat agar ahsasat ki ho...jazbat ki ho...ya kisi gehray gham aur khushi ki ho....yadgar hoti hay...aur ye waqt zehan k parday per sabt ho ker reh jatay hain...aur agar kabhi aisa ho bhi tou kabhi kabhi aisa bhi ho jata hay k ye batain koi bhoot ban ker hamain darati hain....utht

Faisla....

Juda ho ker hazaron faislay hum nay kiye ab tak Magar "Ik Faisla" abhi humko ba'hum bhi kerna hay Khawab achay hon tou sonay walay ko bhaa'tay hain magar in suhanay khawabon k saharay zindagi nahi guzari ja sakti....Her shaks ki ankhon may khawab halkoray laitay hain...In khawabon ko panay k liye kuch log her mumkin koshish kertay hain aur kuch thak har ker beth bhi jatay hain....per himmat chore dainay walay aksar ye bazi haar jatay hain.... Aisa nahi hay k her shaks khawab sajata ho ..baz aisay bhi hotay hain k jo apnay ap ko in cheizon say dore he rukhtay hain ... aur wo apni zindagi k faislay apnay khooni rishton k hathon girwi rukh daitay hain k kismat meri....marzi teri....per ye kam kertay howay wo soch bhi nahi saktay k ye kia ker gai wo....aur jab hosh ata hay tou dair bohat dair ho jati hay...hath say waqt rait ki manind phisal phisal jata hay...aur akhir may hath khali honay per ahsas hota hay k ham to pehlay bhi khali hath he thay aur ab bhi RAHA kuch bhi

Main nai bolna...bAssssssssss

.................................................................................................................................. .................................................................................................................................. .................................................................................................................................. .................................................................................................................................. .................................................................................................................................. .................................................................................................................................. .................................................................................................................................. ...................................................................................

Kitabi Batain.......

Ye bat to aksar main socha he kerti thi k baz batain sirf aur sirf lafazi k ilawa kuch nahi hoti...un may koi sachai nai hoti...per wo khobsurat batain hamaray dil ko cho laiti hain...jinhain hum kabhi kabhi shugal may KITABI BATAIN bhi kehtay hain......aisa he aik paragraph ajj aik book perhtay howay mujhay perhnay ko mila.......is paragraph ki sehat per shak hay mujhay..... perhye .... """"Majbooriyon k bandan aur saath bohat napaidar hotay hain....Agar kabhi ap ko ye lagay k koi ap k sath majbori k tehat hay tou jitni jaldi ho sakay usay us bandhan say azad ker dain....Kyoon k aik na aik din ye arzi bandhan tootna he hota hay...tou behtar nahi k ap khud he usko azad ker dain...tah k apki apni izzat e nafs salamat rahay """" Rishtay na tou apki apni marzi say bantay hain.....na he toot'tay hain...dekha jaye to apki bebasi ka tamasha dekhnay k liye aisay kitabi jumlay kitabon may print hotay hain....hahhaha In baton ka haqeeqi zindagi

Khoon peenay wali jonk'aain....

Mujhay flowers bohat ziada pasand hain.....itnay k jahan kahin nazar ajain nazar nahi hat'ti...i love them a lot......ya shayad subko he bohat achay lagtay hain....hotay tou jo itnay khobsurat hain...dil moh laitay hain... her kisi ka.... Per hum nay kabhi un logon k baray may nahi socha hoga jo phoolon ka karobar to kertay hain per is k bawajood unki zindagiyon may in phoolon ki si mehak nahi milti....wo tou aik aik niwalay ko tarastay hain...shayad phooolon ki khobsurati aur inki khusboo na tou unki zindagi ko khobsurat ker sakti hay aur na un k khali pait ko bhar sakti hay....un logon k samnay sirf hay tou wo chand rupeye jo wo in phoolon k badlay may hasil kertay hain....k ye tou pait bharay logon ki batian hain ..phool khusboo rang mausam....un garibon ko kia lutf dain ge jin k shab o roz is fikar may basr hotay hain k aya ajj unko kuch khanay ko milay ga bhi k nahi..... Tuff hay... Ye khobsurat mulk jo humne hasil kia....ISLAM k nam per...matlab batatay hain PAKISTAN ka k

Tamasha e ISHQ....

Iblees teri ik khuda say na nibh saki..... MUJHKO tou dekh, kitnay khuda'on ki zaad may hon... Zindagi............jisay hum, aap,,duniya walay sab k sab ik imtihan say tashbee daitay hain...ye wo imtihan hay, jis ka CENTRE tou duniya may para hay...magar ...iska result OUT hoga dosri duniya may.... Is imtihan k bohat saray marhalay hain....aur bohat he paich dar bhool bhalaiyon walay rastay...jis nay guzar ker ap ko us pul e sirat tak pohanchna hay..jahan apka paper hay.... Kabhi Qudrat day ker azmati hay Kabhi lay ker .... Kabhi ikhtiar day ker Kabhi be ikhtiar ker k Kabhi bin mangay deti hay kabhi mang mang ker thuk jao tab bhi nahi deti... Qudrat k agay hum sab bebas hain.... Jo is imtihan may pora utarta hay wo KAMYAB tehraya jata hay.... Aur Jo himmat haar day....wo ....nakam o namurad teherta hay... Dushmano ki terha US say lartay rahay.... Apni chahat bhi kitni nirali rahi.... Shayad ISHQ bhi isi imtihan ka hissa hay.... Chahay ishq e haqeeqi ho k ishq

Stupid experiment.....

Ajj aik bat reh reh ker yaad arahi hay...3-4 saal pehlay ki baat hay....pata nahi bethay bethay kyoon ye bat zehan may ai k ye bat kyoon kahi jati hay k ...aik kharab saib(apple) saray sahi saibon ko kharab kerta hay is type ka kuch perha tha ..jis ka concept basically ye tha k kharab sohbat achay logon ko bhi kharab ker daiti hay......jo meri samajh may bat aye tou wo tou ye he thi....agay ka mujhay nahi pata...likhnay walay nay kis pas manzar may likhi thi.... khair ghar per saib rukhay thay unhain check kia aik un may say kharab ho raha tha...usay may nay set ker k beech may rukh dia..k dekhtay hain kal tak kia result ata hay....aglay din dekha tou wo saib mazeed kharab ho gaya tha...per dosray saib kharab tou nahi howay thay....shayad bohat he dheet qism k thay...isliye...ya phir kia wajah thi....khair wat i saw is that ....k....jo kharab tha us ka acha khasa dhaag dosron per bhi lag gaya tha... mujhay to just observe kerna tha k wo kharab wala dosron ko kharab kerta hay k nahi

Sabr......Azeem bannay ki pehli serhi....

Bachpan say he logon ka kuch na kuch target hota hay....koi goal hota hay ....jis k achievement k liye wo tan maan dhan ki qurbani daita hay....dil o jan say us cheiz ko hasil kernay k liye apni tamam takat laga daita hay.....kuch log shuru say he doctor...kuch engineer...kuch pilot wagaira wagaira banna chahtay hain.... Waisay to mujhay kuch kuch shauq tha poetess bannay ka .... per iska shukar ada kerti hon k na ban saki.... na he ban'na hay mujhay... sorry to say but...but....jin ko adab ka rakhwala ya ilm ka mamber samjha jata hay...bat kernay per pata chalta hay k wo tou khud BE-ADAB hay....aur usay khud adab seekhnay ki shidat k sath zaroorat hay... Ye bat mujhay bhi pata hay k "5 fingers are not equal"....magar hamain equal he mili ...ye hamari qismat ya adab ka hamaray hathon affiat k sath patli gali say nikal jana hahhahahhahahha.... Khair jo bhi tha .... acha nahi tha... Agar ye sub adab hay....tou hum BEADAB he bhalay hain.... Dosra shauq tha Azee

Pagalpan....

Ajj aisay he bethay bethay meray zehan may aya k duniya may technology main itni vast changings arahi hain...her cheiz ko check kernay ka METER invent ho chuka hay.... Kabhi kabhi der lugta hay...pagalpan meaurement meter na ban jaye.........ziada kuch to nahi hoga per GENIUS BOOK of WORLD RECORD k saray record toot jain gay.........jab mera pagalpan 100% aye ga... waisay to mujhay kabhi bhi shohrat ki talab nahi rahi per bethay bethay aisay nam mil jaye ga ye bhi na socha tha.....agar pehlay pata hota to koshish hoti k mazeed improvement lanay k iqdamat kiye jain.... waisay pagalpan ka aik bara faida ye hay k ap apnay main may mast rehtay ho...waisay to iska koi ilaj hota nahi hay per kabhi kabhi ye pagalpan shayad ap k haq may behtar he hota hay......apnay ap say uljh ker ap khud he apna ahtasab kertay rehtay ho....apnay say he naraz ho ker beth jatay ho........aur mazay ki bat ye k sub ko mananay walay...apnay app ko mana'nay ka hunar bhi nahi rukhtay........per ye narazi 3

Ghum aur khushi....

Ghum aur khushi her aik ki zindagi may hoti hay...han quantity may farq hota hay...per koi ghum ya khushi chota bara nahi hota.......ye to bas hota hay......zindagi may apnay dukh dard ko halka mehsoos kernay ka simple formula hay k ap apnay say kam logon ko dekhain....agar apko ahsas hay tou ap usay mehsoos ker lo gay k ye bhi to hay......per amomun aisa nahi hota...hamain apna ghum duniya ka sub say bara ghum lagnay lagta hay.... Meri maa nay bachpan may (4) batain itni dafa repeat ki hain k ab jab kahin ye jumlay likhti hon ya sochti hon to mehsoos hota hay k wo meray samnay khari hon aur bol rahi hon...... 1...Kisi dosray ko koi bat kehtay howay wo bat khud per rukh ker soch lo k agar koi tumko kahay to tumhain kaisa lagay ga....mukhlis ho k jawab do to tum samajh jao gay k kisi say kia bat kerni hay kia nahi..kis bat per kisi ka kitna dil dukh sakta hay.... 2...Achon k saath tou sub he acha kertay hain...bat to tab hain jab tum us k saath acha karo jis nay tumharay saath burai

Kundan.....

Zindagi k aatishdaan may.... khawahishon ki bhatti may tap tap ker.... he her insan kundan banta hay... Fehmida Ishtiaq 11th August 2011

Alfaz

Baz dafa hamaray kahay gai alfaz kisi insan ki khushi ka bais bantay hain aur usay ik nai zindagi detay hain ... Aur baz dafa aisa bhi hota hay k hamaray kahay gai lafzon k ghaoo mundamil to kia hongay... wo kisi ki jaan bhi lay laiti hain... aik aisay maray howay shaks ko marna kahan ki bahaduri hay??? Aur Qatal to qatal hota hay... Chahe alfaz k teer chala ker kia jaye k talwar ki noak say.... saza to iski bhi beher haal phansi he hay... Fehmida Ishtiaq 11th August 2011

Khushboo...

Mujhay phool bohat achay lagtay hian...is liye nahi k wo khobsurat hotay hain....wajah ye hay k un ki si serat kisi insan ki kabhi ho he nahi sakti.... Chahay to sehray may saja lo..... Chahay to chand patiyan dal ker Qabr mehka lo.... Inka kam tou khusboo dena hay... Aur ye inki fitrat may shamil hay.... k Ye pati pati ho jatay hain per apni fitrat k berkhilaf khusboo denay say nahi jatay.... Baray zalim hotay hain ye phool bhi na.... Fehmida Ishtiaq 11th August 2011

Kash....

Kash... Mujhay lafzon ki jadugari ati.... Aur main ik jahan ko taskheer ker laiti.... aur fateh e alam kehlati Magar mujhay ye sha'ore hay k ik jahan taskher kernay k liye apka "HONA" bohat zaroori hay... Aur main ??? MERI ZAAT ZARA E BE NISHAN Per kash tou kash hota hay..is may "HONAY" ka amal dakhal nahi hota... Fehmida Chaudahry 11th August 2011

Btao ....Zindagi kia hay?

Zindagi k bohat say faislay aisay hotay hain jo hamari zindagi say juray to hotay hain per unka faisla hamaray apnay ikhtiar may nahi hota....... Zindagi may aisay bhi kai pal atay hain jahan hum teherna chahtay hain.....sastana chahtay hain.....jin pairon(trees) k neechay bethtay hain un say apni batain share kerna chahtay hain..per nahi ker patay.......kabhi kabhi manzil hamaray samnay ati he nahi .....wo hamaray pairon talay he hoti hay......phir bhi....... Zindgai k kuch faislay tadbeer k hotay hain aur kuch taqdeer k.... tadbeer k faislon may tarmeem mumkin hay......Taqdeer k faislon may nahi...... Zindagi ki haqeeqat wo thori hoti hay jo hum guzarna chahtay hain........iski haqeeqat to wo hay jo hum guzarna nahi chahtay....... Dekha jaye tou ....Ye jumla .....Zindagi kaisi guzar rahi hay......bemani sa hay.....fazool sa.... Zindagi ko koi kaisay guzaray ga.......WO to khud hamain guzar rahi hay.......bat hay samajh ki......per hum nadaan log hain......nah

Akhri baat........

Zindgi may kabhi bhi ap kisi kitab ka title dekh ker kitab may mojood mawad ka andaza nahi laga suktay....Isi terha kisi dosray k baray may ap mafroozay kaim ker k usay tease nahi ker saktay....jab bat ka ilm na ho tou us topic per bat he nahi kerni chaheye....kehtay hain qabr ka haal murda he janta hay...koi aur nahi.......ye he bat aam insan ki zindagi per bhi laago hoti hay.....wo kia hay...kia nahi...kia haalat hain....kia waqiat hain........kon sahi hay...kon galat hay.... Kia kisi insan may itni bhi sense nahi hoti k wo ye andaza laga sakay k aya aik insan jab her gair k sath achay say paish ata hay......darguzar kerta hay her bat.....apnay tore per achay say acha kernay ki koshish kerta hay tou kia wo apnay qareebi ird gird k logon k saath wo rawaiya rawa nahi rukhta hoga... Meri maa hamaisha kehti thi k apna dukh kam kerna ho tou hamaisha apnay say neechay walon ko dekho....dosron ka ghum dukh durd dekh ker dil ko sabr ajata hay k ye bhi tou hay k jo ham say buray haal